Translate

Friday 16 November 2012

Mustard Spinach


Mustard Spinach

Mustard Spinach: These are green leafy vegetables largely grown in south Asia. These are mainly winter crop and can be available throughout the year in canned form but fresh greens have much better nutritional value then the preserved ones.

Mustard spinach is full of flavenoids and other antioxidants, which are useful for healthy long life. It is mainly rich in vitamin A, vitamin C and vitamin K and folic acid. Mustard spinach is very tender and easily digestible along with having health benefits and taste.

Folic acid is found in abundance in this vegetable, folic acid  is vitamin needed to make DNA of cells, folic acid  is needed to make baby’s brain and spinal cord  inside the mother’s uterus, so it should be consumed by all women of child bearing age, folic acid  also relieves mouth ulcers and prevent red cell deficiency in body  and thus needed to overcome weakness and lethargy due to diseases like red cell deficiency or anemia.

Another nutrient which is present in high amounts is calcium, as all know calcium is mandatory for strong bones and teeth  and essential for proper muscle and nerve functions.

Vitamin A is also present in large amounts; vitamin A maintains normal vision, skin and mucous membranes. Last but not the least mustard spinach is source of fiber, fiber helps in treating constipation, obesity, acidity, high blood pressure and diabetes.

In this page, we are going to discuss about Mustard Spinach  benefits, advantages, and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.


Mustard Spinach In Urdu
Sarson ka sag sarson kay podon say hasil kiya jata hai. Woh sarson jo khait mein khud ugaee jai is ka sag behtarin hota hai aur yeh sag patton ki nisbat gandal ka ho to ziyadah umdah hota hai jo tasir aur zaiqay mein yaksan umdah hai.

Gosht kay hamrah ya tanha isay paka kar khaya jata hai. Nehri zamin ka gandam kay khait say tazah hasil kardah sag ziyadah behtar hota hai. Sag agar aik rat ka rakha huwa basi ho to is mein woh lutf nahin rehta jo tazah sarson kay sag mein hota hai.

Is ka ziyadah laina ho to jo,jawar,makaee ya bajra ki roti kay hamrah istemal karna munasib hai. Is kay ajza roghaniyat ,folad aur vitamin A, B, G, calcium o folad hain is ki tasir garam aur khushk hai.

Aik pao sag mein barabar wazan dudha aur gosht kay barabar tawanaee aur ghizayat hoti hai is ki barik barik kali gali gandal madani namkiyat aur folad say bhar pur hoti hain. Sag qabz kusha hai aur khoon ko zehrilay madon say pak saf karta hai. Is kay istemal karnay say asaz mazboot,in ki sakhti door aur dimagh mein tari ki lehar dor jati hai. Rak p athon ko naram karnay aur gehri neend lanay kay liye mosam ki muft ki dawa hai.

Folad aur calcium ki kami walay marizon ko mein is sag ki kachi gandalain adha chantank say do chantank tak rozana khanay ka mashwarah diya karta hoon mein salha sal say yeh not kar raha hoon kay malti vitamins aur vitamins B complex say kahi ziyadah taqat ,khoon aur madani namkiyat is ki gadalain istemal karnewalon kay jisam mein hasil hojati hain.

Bhook ko tez karta hai aur jisam o maday say riyah ko kharij karta hai. Khoon mein hararat paida karta hai aur yeh paishab awar sag hai. Sarson ka sag agar bachon ko khilaya jai to in ki zahiri shakhsiyat par bhi asar parta hai in ka qad aur wazan barh jata hai aur danton ko mazboot bananay mein lajawab hai. Naya khoon paida karta hai. Qabz kusha hai aur khoon ko saf bhi karta hai,chehray par yeh sag khanay say surkhi paida hojati hai.

Madah,jigr aur antariyon ko taqat war bananay mein yah sag lasani hai, protein is mein wafar miqdar mein mojud hoti hai is liye yah pait kay kiray halak kardaita hai. Jisam par sujan ho to isay khatam karnay kay liye sarson ka sag istemal zaroor Karain.sason ka sag imraze jild kay liye bhi bahtar hai jildi bimariyan isay khanay say door hojati hain. Is mein makhan dal kar khaya jai to yeh jisam ki laghari aur kamzori ko door kardaita hai. Sarson ka sag quwate bah mein izafa ka sabab hai aur mani ko garha bhi karta hai.

Sarson ko peec kar bator ubtan istemal karain ,chahray ka rang nikhar ata hai. Sarson kay sag mein adrak bhi shamil karlaina chahiye basurate deegar yah sag reh paida karta hai. Woh log jin ka maday mazboot nahin, inhain yeh sag istemal nahin karna chahiye aur gurdah kay marizon kay liye yeh sag bay had muzir hai.

Cholaee Ka Sag
Mashoor aam hai. Is kay poday zamin say ziyadah buland nahin hotay . Saq bani dandi choti hoti hai. Is mein phool nahin atay. Sirf beej atay hain jo khashkhash kay danon say zara baray hotay hain.

Rang sabz,surkh,zaiqa,qadray talkh,mizaj sard o tar darja awwal,afal o istemal,maltaf hai,badan ki tartib karta hai. Magar qalilul ghiza hai. Maskan hararat o sozish hai madar bol hai. Garmi ki khansi ko mufid hai. Maskan piyas bhi hai. Jangli qisam mein kantay hotay hain.

Cholaee ka sag zamana qadim say bay had istemal kiya jata hai. Baz maqamat par yeh bohot ziyadah paida hota hai aur baz maqamat par bohot kam aur cholaee ka sag bay had mashoor hai.

Is kay ajza namkiyat aur vitamin c hain. Is kay mizaj aur tasir ka baray mein ikhtelaf hai. Baz isay sard o tar batlatay hain. Baz garam khushk aur kuch isay motadil kahtay hain. Magar hamain is kay mizaj kay motadil honay par ittefaq hai kiyunkay is kay khowas ka tajziya isay motadil sabit karta  hai.

Piyas bukhata hai aur jalan kay josh ko kam kardaita hai.
Paishab awar hai aur is say garmi o khushki door hojati hai. Khansi walon kay liye aksir hai.

Woh shakhs jo koee kacha kushta khai to isay baghair mirach kay cholaee ka sag paka kar gandum ki roti kay hamrah khilain aur is ka joshandah bhi pilain.paishab kay rastay kachay kushtay ka sara asar nikal jaiga.

Jald hazam hojata hai aur mitha bhi hota hai aur is kay mutawatir istemal karnay say bohot si bimariyan door hoti hain. Pathri nikal kar khatam hojati hai aur tut jati ha. Blood pressure,safra aur balgham ko khatam kardaita hai. sanp katay ko khilain is kay liye umdah ghiza hai. bawasir kay liye cholaee ka sag bay had mufid sabzi hai.
Grmi kay asarat khatam karnay kay liye cholaee ka sag istemal karain aap shafa yab hojaingay. Kiyunkay is ka mizaj motadil hai is liye isay aik muqarrarah had tak khan munasib hai aur isay pakatay waqt is mein koee aur sabzi hargiz na mila kar pakain aur na hi ziyadah mirach aur masalah jat ka istemal karain.

Sag Batho
Batho ya bathwa sag Woh khud ro zabzi hai jisay paka kar bator salan khaya jata hai sarson waghairah kay sag mein isay mila kar is liya pakaya jata hai kay Woh sag khoon gul jai. Mulaim pur latif salan tayar hojata hai aur shehri logon say ziyadah dehatiyon ki pasandidah ghiza hai jo bohot say imraz say mehfooz rakhnay ka bais banti hai.

Namkiyat
Tamba ,folad aur vitamin A, B, C waghairah is kay ajzah hain. Mizaj sard tar hai is kay osaf doosri sabziyon say ziyadah istemal karain daimi qabz ko khatam kardaiga. Isay khanay say badan mein quwat paida hoti hai aur yeh badan mein kisi had tak chusti paida karta hai. masana,gurdah aur paishab kay amraz mein batho ka sag bay had mufid hota hai. garmi jigar aur tilli say jo amraz paida hotay hain. Yah sag inhain khatam kardaita hai. is ka istemal shiddate piyar ko kam karnay kay liye apna sani nahin rakhta. Agar paishab ruk ruk kar aaey ya qatrah qatrah aaey to is ka ras pinay say yeh marz jar say khatam hojata hai.

Bathwa kay pattay bandhnay say jisam kay kisi bhi hissay ka waram khatam hojata hai aur jahan phora ho wahan isay khatam karnay ka bais yeh pattay bantay hain aur isay phar bhi daitay hain. In amraz kay liye koot kar ya ras nikal kar is  ka laip karnay say bhi shafa hasil hoti hai. khansi aur sehal kay mariz jo safravi mizaj walay hon aur inhain garam ashia say nuqsan ka andesha ho Woh batho ka sag paka kar istemal karain inhain bay had faida hasil hoga. Magar Woh yeh khayal rakhain kay bath okay sag mein Woh ghee ka istemal hargis na karain balkay roghane badam ka istemal karain. Is say inhain bay had faida day ga aur mariz shafa yab hojaiga.

Batho ka sag gurdah aur masana kay har marz kay liye mufid hai. Woh mariz jo gurdah yam asana mein pathri ya rait kay mariz ho in kay jisam say pathri aur rait yun muft kharij karday ga kay aap ziyadah say ziyadah rupia kharch karkay bhi aisa nahin karsaktay. Batho ka sag pait kay kiray shartiya halak kardaita hai aur alopethi mein is say kaee adwiyat banaee gaee hain. Garam mizaj log is ka istemal ziyadah say ziyadah karain balkay sard mizaj log is kay istemal mein ahtiyat karain Woh isay ghee kay hamrah piyan barame roghan kay hamrah paka kar istemal karain.

Mashoor aam sag hai jo fasale rabih mein gehun kay khaiton waghairah mein paida hta hai. rang sabz,zaiqa,bad maza,phika,mizaj sard o tar darja 1,badal palak,masalah garam masalah,miqdar khurak,baqadre hazam,afal o istemal,melon shikam,melon halaf o sina,maskan hararat, bathway ka sag paka kar batore ghiza istemal kiya jata hai. garam mizaj walon ko khususan mufid hai. maskan piyas hai. patton ka nichor huwa pani madar bol aur waram halaq ko tehlil karta hai.

Sag Khatmi
Yeh Woh sabziyan ya jari butiyan hain jin ko shazo nadir alag alag pakaya jata hai balkay inhain kisi aur sabzi ka juzu bana kar pakaya jata hai. jaisay sarson kay sag mein batho shamil kiya jata hai aur sonchal ya khatmi ko cholaee mein tandila mein milakar pakaya jata hai.

In ajza ki tafsil bhi wohi hai jo sarson kay sag ki hai inhein bhi aam sag ki manind bhoon kar aur paka kar istemal kiya jata hai. in sagon ki alag alag khususiyat ham darj kar rahay hain.

Sag Khatmi Ya Sonchal
Amraze yarqan mein bay had mufid hai qabz kusha hai aur dard qolanj ko khatam karta hai zehron ka lajawab tariyaq hai.

Sag Cholaee
Zude hazam hai aur piyas bujhata hai. sant agar kisi shakhs ko kat lay to is kay liye bay had umdah ghiza hai garam mizaj rakhnay walay ashab ka liye bay had mufid hai.

Sag Tandla
Garam khansi kay  liye tandla bay had mufid hai. saleh khoon paida karnay kay liye tandla aik tonic hai.

Sag Batho
Muqavi madah hai aur nizame hazam ko durust karta hai. quwate bah mein izafa karnay ka bais hai. pait kay kiray batho ka satg khanay say halak hojatay hain.

Muqavi jigar hai aur jigar mein mojud pathri ko torta hai aur paishab kay rasta raiza raiza karkay kharij kardaita hai. tazah halat mein khana chahiye aur aik rat ka basi bhi itna mazedar aur faida mand nahin raha karta. Ganday khaiton say kam az kam do char qadam door say hasil kardah sag istemal karian aur isay pakanay say pehlay achi terha dho kar saf karlain.

Ghee mein bhunay baghair yeh sag na khanay chahiye warna chandan faida mand nahin rehtay. Sard mizaj log in mein adrak mila kar istemal na karain to in kay liye yeh mufid nahin hai.

In podon kay aksar beej istemal hotay hain kiyunkay yeh masalah aur poday hain aur jab in patton ka sag khaya jata hai to bator dawa hi khaya jasakta hai.

Is kay ajza mein vitamin E aur C bakhubi hain. Sard khushk ya motadil mizaj hai. apni akaili halat mein warna sarson aur palak waghairah kay hamrah paka kar istemal karna munasib hai. yeh sag panjab mein ziyadah nahin khai jatay kiyunkay qudrat nay panjab ko zarat say mala mal kiya ha aur is ka badal yaha aur bohot say sag mojud hotay hain.

Khanay ko hazam karta hai. reh ko tehlil kardaita hai aur kamzor logon ko yeh sag khana bay had mufid hota hai. gurdah ki pathri kay dard ko yeh sag door karta hai aur pathri ko tor kar paishab rastay reza reza karkay kharij kardaita hai. masana gurdah ki pathri kay marizon ko is ka istemal bay had sud mand rehta hai. uar batadrij marz door hojata hai.

Yeh sag razah halat mein paka kar khana ziyadah mufid hai. basi ka Woh faida nahin jo tazah sag ka hai aur phir tazah sag ka lutf bhi basi sag say do chand hota hai. yeh sag in logon ko ziyadah istemal na karna chahiye jo dimaghi kam kartay hain yeh kisanon waghairah ki umdah ghiza hosakti hai is ka khana aksar dimaghi kam karneywalon ko paraishan kardaita hai.

No comments:

Post a Comment