Translate

Friday 16 November 2012

Mint Leaves


Mint Leaves

Mint Leaf: Mint leaves are green refreshing vegetable with characteristic taste and fragrance. Nature keeps a magical remedy for many disorders in these tiny leaves. Mint leaves contain variety of nutrients ranging from vitamin to minerals. Mint leaves are very good for digestion. These are beneficial to relieve acidity, abdominal fullness or bloating, abdominal pain.

In case of food poisoning, this is very effective first aid remedy. Mint juice is also good for I intestinal worms and insect bites. Mint leaves contain vitamin C , vitamin A , and minerals like  iron, sodium , potassium, calcium , ,magnesium, zinc, and copper.

These are all important for healthy body and skin. Mint leaves are also very effective liver tonic. A glass full of mint juice is good blood purifier and helps liver in removing toxic substances from body , in this way it readily relieves skin disorders like acne, freckles, melasma  and other inflammatory disorders  and  gives  glow to skin.  Mint juice relives the morning sickness of pregnancy and reduces the incidence of nausea and vomiting in pregnant women.

Mint leaves are also very good mouth freshener and give relief from bad breath, mint is also effective in congestive disorders of respiratory tract like flu, sore throat and chest congestion in form of mint tea. Mint leaves in form of sauces provide good roughage or fiber for healthy digestive tract.

In this page, we are going to discuss about mint leaves benefits, advantages, and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.


Mint Leaves Benefits In Hindi
Paper mint, mashoor khushbudar boti ha jis ki kaee aqsam hain. Rang ,sabz,zaiqa qadray talgh tez, mizaj garam darja doyam, khushk dsarja doyam, miqdar khurak 3 masha say 5 masha maslah katra, afal-o-istemal, yeh ziyadar tar dard shikam aur zafe ishteha mein istemal kartay hain. Qay wakhshiyan ko taskin daita hai. riyah tehlil karta hai aur wazah hamal mein faida daita hai. paishab haiz o pasina bahata hai.

Podinay kay patton ka joshanda 3-4 roz ayyame haiz say qabal subha-o-sham char panch martaba pilanay say haiz khul ka rata hai aur tarriyaqat rakhnay ki wajah say marz haiza mein bhi mustamil hai is ka joshandah ya araq pilatay hain.

 Iss ka tail british pharma kopia mein dakhil hai agar podina kay pattay toray jain jab kay phool aur shagufay niklay hon to roghan ki miqdar ziyadah hasil hoti hai. is ka johar bhi nikala jata hai. jo sat podina kay nam say mashoor hai. majun foteji is ka mashoor murakab hai.

Woh khushbu dar sabzi hai jo mosame sarma mein paida hoti hai aur is ki chatni barre saghir mein sadiyon say zoq shoq say khanay kay hamrah bator salad istemal ki jati hai isay boti bhi kaha jata hai aur is ki kaee qismain hain.
Makhsoos khanon ko khushbudar bananay kay liye kasht karkay istemal kiya jata hai.

Jab is ki kasht nahin hoti thi to yeh khud ru boti kay tor par mutarif tha aura b isay baqaida sabziyon ki manind kasht karkay istemal kiya jata hai.
Is kay ajza mein vitamin,folad aur Woh sabhi kuch hai jo masalah mein hona chahiye garam khushk mizaj hai.

Khususiyat
Jis  say riyah ko kharij kardaita hai aur pait kay kiray marta hai, zafejigar,  dard o shikam o nafakh shikam mein aksir ka darja rakhta hai.

Khula mun kay bartan mein podinay ki patiyan ubal lain aur phir isay dhakan utar kar khuli jagha rakh dain aur phir chai k chothaee cup har subha nihar mun istemal karain. Bohot jald aap ki rangat surkh-o-safaid hojaigi.

Haiz ki bandish ko khol daita hai aur band paishab bhi jari kardaita hai. dard ko aram daita hai. wabaee zehron ka tariyaq hai aur mosame sarma barsat mein churan kay tor par istemal hota hai.

Zehrilay janwar nay dank mar diya ho to podina koot kar is par laip kardain zehar ko khatam kardaiga. Qay ko rokta hai. balgham ko khatam karta hai. haiza kay liye nafeh hai. nak aur kan mein podina ka ras tapkanay say nak aur kan kay kiray halak hojaiga.

Isay ubal kar is ka  pani pinay say haiz band hojata hai. Ilaichi kalan, haiza mein podina, patton kay hamrah ubal kar pilanay say haiza khatam hojata hai.

Podina anton kay liye muzir hai. is liya woh ashab jo anton kay kisi arza mein mubtala hain Woh podina kisi bhi tariqay say istemal karnay say ahtiyaz karain aur na is ka ras pani istemal karain.

No comments:

Post a Comment