Mauve
Mauve Benefits In Urdu | ||
Garmi kay mutadid amraz ka shafi ilaj hai kasni jisay arbi mein hinba aur angrezi mein trexi sai boltay hain duniya bhar kay garam mumalik mein khud bakhud paida hoti hai unani hakimon nay is sonay say ziyadah qimati sabzi ko kasht karnay ka riwaj diya.
Mosam bahar say yeh khoob soorat sabzi phalni phulni shurooh hoti hai, garmi barhnay kay sath yeh bhi jawan hoti rehti hai. Aaj kar ya puray joban par hai zamindar amooman chotala aur barsain kay khaiton mein is ko bo daitay hain.march,april may,jun tak shatala kay khaiton mein is kay aath kaliyon walay khushnumaee asmani rang kay phool ajab bahar dikhatay hain. Is kay pattay palak aur kaho kay mashaba katao dar barh say choray aur konay par tikon banatay huway barik hotay jatay hain. Danger dhor kay charay mein is kay mutadid poday milay julay ajatay hain jisay la ilmi kay bais ham bahar nikal phaiktay hain is kay tukham aur barhain hakimon aur dawakhanon say ba asani dastiyab hojtay hain. Taza sabzi ka mizaj sard tar aur tukham sard khushk hota hai. Andruni aza kay sudbay kholna in kay waram aur garmi door karna aur masamat khol kar badni zehron ko door karna is ka khas fail hai hamaray badan ki sub say bari ghudud o jigar hai jo wazan mein kul badan ka chaliswan hissa hoti hai aur har dam khoon saf karti rehti aur safrawi ratubat ko khoon say juda karkay mararah mein zakhira karti rehti hai. jab jigar mein waram hokar hath paon suj jain. Barhtay barthtay pait mein pani aur reh jamah hojanay say istaqa ki bimari hojai. Ya gurday kharab honay say ankhain phuli suji nazar aaein to kasni is ka shafi ilaj hai. Jigar mein sakhti ho ya waram, yarqan ho ya jalodhar, gurday paishab say waram kar aaen zehrilay maday saf na karain aur ankhon mein waram kar aaen. In kay liya kasni kay patton ka pani aik say tin chatank tak shaker surkh ya sharbate bazori say mitha karkay subha kay waqt do char haftay pilani aur sham kay waqt safoof jigar do say tin mashay tak khilana jadu sa asar dikhata hai. Qabz ki soorat mein sharbat dainar milana behtar hai maday ki garmi ,tezabiyat aur waram door karnay kay liye is pani kay sath safaid zerah dairh say chay mashay pisa huwa khilana aur isi kay patton ko peec kar maday kay maqam par chand roz lagana faida mand hai. Dil garam hojai aur dharkan say chalna phir na mushkil hojai. Sath hi kam himmati barhnay lagay to sabz kasni dairh chantank sabz dhaniya aik aik tola donon ka pani nikal kar marbi gajar kay shirah say mitha karkay is kay sath kushta sadaf sadiq do ratti say char ratti chand roz istemal karnay say bafazle khuda dil ko sehat hojati h ai. Dharkan ki ziyadti waqt baradah sandal safaid is kay sabz patton kay sath peec kar dil kay maqam par laip karnay say foran taskin hojati hai. hath paon jalnay walay jawanon ko is kay aik chantank pani mein aik limon aur khand mila kar aik do ratti kushta qalaee chand roz istemal karnay say sehat hojati hai. purani hakiimon nay sadiyon say jigar, madah, tilli, gurdon aur anton ki waram door karnay kay liye aab maroqin ka riwaj diya huwa hai mairay taqriban nisf sadi kay tajarbay mein hazaron purani say purani andruni aza ki waram kay mariz munasib dawaon kay sath isi ab maroqin say shafa yab huway hain. Hukmaey dehli ka tajwiz kardah aab chakidah kasni barson ki jigri garmi door karnay kay liye apna jawab nahin rakhta. Puranay hakimon ki mehar bani say aaj bhi hamaray gharon mein kasni,kharfa,kahu aur sonf kay tukham chay chay mashay,maghar badam giyarah adad ,char maghaz aik tola aur choti ilaichi panch adad ko pani mila kar sarwaee ragr chan kar subha pi lainay par sara din dimagh tazah logi garmi say badan mehfooz aur piyas say aman rehta hai safoof jigar kay nuskha mein ravind chini,qalmi shorah,noshadar aur juwa khar barabar wazan shamil hain. Maroqin say murad sabz kasni aur sabz mako ka p ani aik do do chantank lay kar mamooli aag par minute do minute tak rakh kar phat janay say malmal kay kapray mein saf tapka huwa pani shaker surkh ya sharbate bazori ya sharbate dinar mila kar pilatay hain. Aab chakidah kasni mein aik do tolay tukham kasni dar dra koot kar corah kali mein tin char chantank pani mila kar sara din dhoop mein rakhtay aur chand martaba hilatay rehtay hain. Rat kay waqt shabnam mein para rehnay daitay hain. Alassubha is ka nithra huwa pani mitha karkay pilatay hain. |
No comments:
Post a Comment