Translate

Friday, 16 November 2012

Ginger


Ginger

Ginger: Ginger is not only a vegetable but a natural remedy for many health disorders. It has been traditionally used in Ayurveda medicine for centuries. Ginger is actually the root of plant and fresh ginger is fibrous and juicy with characteristic smell and taste. Ginger is a best food preservative.

Ginger is having great antimicrobial activity and anti-inflammatory effects, it a magical weight loosing remedy. Ginger tea with lemon is used effectively to loose weight in a natural manner, ginger is very effective in motion sickness and morning sickness of pregnancy, a research conducted on pregnant women showed a greater reduction in nausea and vomiting of pregnancy in women who used ginger  during early pregnancy.

Ginger is also very effective in cramping muscular pain and in pain of menstrual periods in women; ginger tea is especially effective in indigestion and has very soothing effect on stomach. Ginger also contains Vitamin C, a natural antioxidant and helps keep body healthy and fit.

Ginger is full of fiber and prevents constipation and colon cancer. Ginger tea is very useful in arthritis patients ad its anti-inflammatory substances greatly diminishes the inflammation in these patients.

In this page, we are going to discuss about ginger benefits and advantages and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.


Ginger Benefits In Urdu
Aik qisam ki jar ai jo zamin mein hoti hai. shaqaqal ki manind pattay lambay aur barik phool. Phal nadarad. Tarko adrat aur khushk ko sonth kahtay hain. Is mein 1 ta 3 fisad halka zard farari tail paya jata hai.

Rang safaid aur bhura, bu tez hoti hai. Mizaj, tazah garam,darja doyam mein aur khushk, darja awwal mein sukha huwa aur dosrey darjay mein garam-o-khushk hota hai zaiqa tez charir aur talgh, miqdar istemal,aik masha ta do masha, maslah, roghane badam-o-shahad,badal dar filfil, afal-o-istemal,hazim kasar riyah aur muqawi bah hai. is ko aksar amraz maday mein istemal kartay hain.

Quwate hafiza barhati hai. balghami mizajon kay liye nihayat mufid hai.marz singar hano mein sonth ko ghee mein bariyan karkay surkh hojai lakin jal na jai chach kay hamrah din mein do tin martabah khilana faida karta hai.

Iss ka muraba bhi banaya jata hai. naiz is ko muqavi bah majunat mein shamil kartay hain. Kharji tor par sardi kay dardon falij waghairah mein is ko deegar adwiya kay hamrah kisi tail mein jala kar malish kartay hain.

Zanjil bariyan aik tola namal tam tin masha mila kar danton par malnay say danton ki turshi rafah hojati hai. ghair rasmi adrak ko agar aap shahad kay sath mila kar chatain to is sardar wali khansi say hairat angezz had tak jal nijat mil jati hai.

Masurhay marz badi kay bais phool jatay hain aur bay had taklif day hotay hain. Darh kay nichay adrak ka tukra lay kar chaba lijay aur isay andrune rukhsar ki janib dabahiye . is terha masurhon say badi pani kharij hojata hai aur dard ko shifa mil jati hai. adrak aam tor  par dal,sag,sabzi aur chatnimein istemal ki jati hai. such janay yar yeh sonth kehlati hai. dawa kay tor par isay is terha istemal kiya  jata hai.

Khansi Dama
Adrak  ka ras aik chantank,shahad aik chatank mila kar zara sa garam karkay pi lain. Sat roz mein aram hoga.

Kami Bhook
Bhook achi terha na lagti ho,paint mein riyah bharay huway ho. Qabz rehta ho to adrak ko tarash kar raizah Karin aur upper say namak chirak kar aik do masha khain. Book achi terha lagay gi. Riyah kharij hon gay aur qabz rafah hojaigi.

Churan Hazim
Hazma ko durust karta hai ,maday ko taqat bakhshta hai. dard shikam aur khattay dakaron ko az had mufid hai sonth aur ajwain hasbe zaroorat lay kar abe adrak is qadar dalain kay adwiyat tar hojain aur saya mein khushk karkay barik pec kar qadray namak mila kar mehfooz rakhain.

Donon waqat char ratti say aik masha tak pani kay hamrah diya karain. Is churan kay istemal say maday ki tamam kharabiyan dor hokar bilkul sehat kulli hasil hogi.

Ears Pain
Adrak ka ras 4 masha,shahad 2 masha,sindha namak aik ratti,til ka tail do mashapehlay namak aur adrak ka ras mila kar achi terha hilain thora garam karkay sat aath bund kan mein dalain kan ka dard band hoga.

Influenza
Safoof sonth aik chantank,safoof pili nisf chantank,kakra sangi 3 chantank,influenza ki khansi ko roknay kay liye aik say dairh masha yeh safoof thoray shahad kay sath tin bar chatain.

Qay
Adrak aur piyaz ka ras mila kaar pinay say qay band hojati hai.

Awaz Bati Janay Par
Adrak ka ras aur shahad milakar chatna chahiye.

Nazla-O-Zukam
Adrak ko cheel kar is ko barik barik tarash lain aur karahi mein ghe dal kar is mein bhunain. Is kay bad adrak kay barabar wazan khand ki chashti mein milain aur pakain. Jab qiwam durust hojain to sonth,zera safaid,mirch siya,nag kasir, jawatri, ilaichi khurd, taj, patraj, papal, dhaniya, zerah siyah, pipla mol, ya barang har aik adrak ka barhwan hissa lay kar koot chan kar milain aur mehfooz rakhain. Miqdar mein khurak 6 masha say aik tola tak hai.

Zikan-o-nazla mein mufid hai. sardi ki wajah say awaz bath jai to is ko kholta hai. dam phulnay ki shikayat is kay istemal say door hojati hai. bhook khoob lagti hai. pait ka dard aur riyahi shikayat jati rehti hai.

Dard-e-Rehi
Sonth dhaee tolay nim kob karkay tin pao pani mein adhay ghantay tak pakain is kay bad chan lain aur adhi adhi chantank yeh joshandah tin tin ghantay kay waqfay say 4 martaba pilain. Dard rehi ks yeh khas ilaj hai.

Singer Honi, Paichish, Bad Hazmi
Sfoot sonth aik chantank, sof aik chatank, safoof harar aik chantank, khand pisi huee 3 chatank, bad hazmi, qay, dast, singr hani, paichish aur maday ki kamzori mein aik masha say tin masha tak din mein do bar dain.

Gobi mein adrak ki mojudgi lazmi juz hai aur isay jis salan mein bhi milaya jai woh salan pur lutf  hojata hai. isy is liya salan ka aik masalah bhi kaha gaya hai. yeh khanay mein lutf paida kardaita hai jozaiqay aur khushbu kay lehaz say bhi numayan hota hai.

Adrak khanay ko hazam karnay mein moawin hai. yah qabz torta hai. nafakh ko pait sai door karnay mein kamiyab hai. maday mein ratubat aur balgham ko khatam karnay mein adrak sab say behtar sabzi hai. is kay sath sath ya jigr ko bhi taqat daita hai. bagham door karnay kay liye adrak do aur ghiza donon surton mein bay had mufid hai.

Maday mein ratubatain jamah ho kar jin logon ka pait barhadaiti hai aur woh motay hojatay hain in kay liye adrak aik bay had mufid aur kar amad sabzi hai.aisay log adrak aik tola lain aur isay barik katar kar aur taway par zara sa pani dal kar isay bhoon lain aur jab yeh pani khushk honay lagay to chamcha bhar ghee dal kar isay bhoon lain aur roti kay hamrah isay bator salan khalin.

Yeh bay had faida day gi. Is ka is tariqay say musalsal istemal pait ki ratubat khatam kardaita hai aur insane ko motapay say nijat mil jati hai.

Adrak ko ghee mein bhoon kar chini milakar istemal karain jisam kaymukhtalif daron aur kamar dard ko shifa hasil hoti hai aur is terha is kay istemal say jisam mein garmi aur taqat paida hojati hai.

Adrak maday aur antriyon kay sabhi amraz mein bay had mufid hai isay khanay say bhook lagti hai. nafakh shikam aur pait ko aram milta hai . adrak dimagh kay amraz aur dimagh kay liye bay had mufid hai.

Adrak adrak ka ras shahad mein milakar chatnay say sardi ki khansi ko aram milta hai badi ka azmudah air kamiyat tariqa ilaj hai adrak ko ghee mein bhoon kar surkh karlain. Magar isi qadar kay yeh jal na jai. Har roz lassi ka hamrah char  panch tolay isay istemal karain singer honi ka mariz isa say yaqinan shafa yab hoga.

Adrak ka matraba khanay aur jaifal chustay rehnay say falik ka mariz shafa hsil karta hai. adrak ka pani nikal lain aur isay ken mein daltay rahain. Kan kay dard kay liye bay had mufid hai.

Adrak ka araq nilkal lain aur isay shehad mein mila kar bachay ko dain. Khansi ka khatima hojaiga.
Adrak lain aur is ka ras nikal kar shahad mein milalain yeh chattay rehnay say sardi aur balghami khansi ko aram ajata hai aur chati ka dard bhi is say door hojata hai.

Pait dard kay l iya adrak ka murabba sabhi dawaon sy ziyadah faida mand hota hai adrak quwate bah mein izafa karta hai. riyah ko kharij karta hai aur gurdon o masana ko taqat daita hai.

Adrak munasib miqdar mein istemal karain. Ziyadah miqdar mein istemal karnay say apni tasir yani garam o khushk zahir karay ga. Magar majmuee tor par adrak kisi bhi marz mein buray asarat muratab nahin karta.

Adrak garam khushk hai. adrak maday aur antriyon kay amraz mein bohot mufid hai bhook lagati hai. pait dard aur nafakh ko door karti hai. balghami mizaj walay is ko istemal karain. Dimagh ko tez karti hai. sonth ko ghee mein bhoon kar lal karlain magar janlnay na dain. Is ko char panch ratti chach kay hamrah din mein do tin dafah khanay say singar hani door hojati hai.

Ghee mein bhuni huee songth khand maein mila kar rakhlain is ko mutabiq zaroorat kharay rehnay say jisam mein taqat o grmi paida hojati hai. dared kamar,ganthiyar aur jisam kay mukhtalif hisson mein dard ka hona waghairah is kayliye bohot mufid hai sardi mein is ko khatay rehnay say sab kuch hazam hojata hai.

Adrak ka ras aur shahd mila kar chatnay say balghami khansi,sardi say paida shuda zukam door hojata hai.

Adrak ka ras nim garam kan mein darlnay say dared kan ko aram ajatahai. Adrak ka murabba,pait dard ko door karta ,riyah nikalta,bhook lagata aur jismani dardon ko door karta hai. masana aur gurdon ko qawi karta aur quwate bah paida karta hai. moti  pukhta, tazah aur baghair raisha adrak ko cheel kar lambi qashon ki soorat mein kat lain namal milay pani mein josh dain. Jab qadray gul jai to pani phaink dain ab is mein khand ki garam garam chashti dal kar josh dain. Tawaqte kay chashni achi terha adrak mein jazb hojai.

Chini, matti ya shisha kay martaban mein band karkay rakhain agar chashti naram hojai to dobarah josh day kar sakht karlain. Sardiyon mein is ko istemal kartay rehnay say jisam mein zaroori garmi taqat qaim  rehti hai. ghazab ki bhook lagti hai.

1 comment:

  1. Great thoughts you got there, believe I may possibly try just some of it throughout my daily life.



    Biohazard Containers Medical

    ReplyDelete