Translate

Friday 16 November 2012

Beetroot


Beetroot

Beetroot: Beetroot is very healthy vegetable and mostly used as salad. It is full of nutrients and rich source of antioxidants like vitamin C, it also contain foliate, B complex vitamins, minerals, and fiber. One special characteristic is that they also contain moderate amount of nitrates which are natural substances effective in lowering blood pressure by dilating blood vessels and also they dilate the skin vessels so skin release more heat and secrete toxic substances from body.

This is the reason why this vegetable has cooling effect on body. Beetroot is also very effective for liver disorders. Beetroot juice is very useful for healthy and shiny hairs also. Beetroot contains many minerals like zinc, copper, phosphorous, Calcium, potassium, sodium and iron that maintain good brain and body health. Beetroots are very fibrous and lower cholesterol levels and prevent from stomach and colon cancer.

Beetroot juice is full of energy due to presence of carbohydrates which breakup into simple sugars and provides energy. Especially after heavy exercise, a glass of beetroot juice relieves the muscle cramps and prevents dehydration. Beetroot is rich in iron and foliate, two blood-forming elements people suffering from anemia also benefit from this gift of nature.

In this page, we are going to discuss about beetroot benefits and advantages and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.

Beetroot Benefits In Urdu

Beetroot Benefits In Hindi
Aik din hamaray ghar rasool allah mohd Mustafa tashrif lai in kay harah hazrat ali bhi thay hamaray ghar mein khajoor kay khoshay latak rahay thay. Ham nay in donon muqadas hastiyon ki khatir madarat kay liye khajoor kay khoshay paish kiya Rraool Allah aur Hazrat ali tanawul farma rahay tha kay is doran Rasool Allah Mohammad Mustafa nay Hazrat Ali say kaha kay ab tum mazid na khao kiyunkay bimari say uthnay ki wajah say kamzor ho phir mein nay in kay liya chuqandar ka salan aur jo ki roti pakaee is par rasool allah nay farmaya kay han to yeh salan khao kay yeh tumharay liye mufid hai.

Aap mohd Mustafa ka hazrat ali ko diya huwa yah mashwarah aur isay mufid qarar daina hi hamaray liye mustanad hai agar chuqandar ki kimiyaee hayat par ghor karain to aik aham bat samnay ati hai kay chuqandar mein shaker mojud hai shaker aur nishasta jisam mein dakhil honay kay kuch hi dair bad glucose mein tabdil hojata hai aur kamzori door karnay kay liye glucose istemal kiya jata hai.

Aik mashoor aur pasandidah sabzi hai. jo kam miqdar mein hoti hai magar apnay fawaid  mein yah mashoor hai yeh ziyadah tar maghrabi mumalik mein hoti hai.

Chuqandar,shaljam, palak aik hi khandan say taluq rakhtay hain chuqandar ka adha hissa zamin ka ander aur adha bahar ki janib hota hai yani pattay bahar hotay hain. Jaisa kay upper zikar kiya gaya ka is mein shakir ki khasi miqdar hoti hai isi liya ham isay bator sabzi to istemal kartay hain magar is say shaker nbhi hasil kijati hai chuqandar say hasil ki huee shaker gannay ki shaker jaisi mithas to nahin rakhti magar phir bhi log isay shoq say apnay mithay khanon mein istemal kartay hain.

Glucose, nishasta, parotin, folad aur vitamin A, H, C, B, H is kay ajza hain is ka mizaj garam tar hai. hamaray han isay ubal kar bator salad istemal kiya jata hai magar kiyunkay Europe mein bay had zayadah hota hai is liya isay khand bananay mein istemal kiya jata hai.

Isay sabzi kay tor par bhi paka kar khaya jata hai is ka rang surkh hota hai agar aap kisi bhi sabzi ko khoob soorat rang dainay kay liye is main chuqandar kat kar dal dain to puri handi ka rang surkh hjojata hai.

Sinay ki naliyon ko naram karta hai aur balgham ko durust karkay isay jisam say kharij kardaita hai. waram aur riyah ko tehlil kardaita hai.
Afal-o-istemal, sakro munshi hai imsak karti hai.

No comments:

Post a Comment