Translate

Friday, 16 November 2012

Radish


Radish

Radish: Radish is common vegetable, available easily and known by many people. Radish is root of the plant and can be white, red or pink in color. Radish is full of fiber, and sulfur. Other nutrients are vitamins like vitamin C and vitamin K, B complex vitamins, minerals like calcium, magnesium, selenium, copper and zinc. Radish along with other vegetables are rich in zinc and there fore very beneficial for having healthy hairs.

Sulfur and vitamin C are strong antioxidants, which prevent inflammation, cancer cell formation and aging of cells. Radish boosts immune system. Radish is very useful in liver disorders like jaundice. It is also beneficial in kidney disorders.

Radish is rich in fiber that is why it is good for digestive system .radish also has mush foliate content and effective in foliate deficiency diseases like mouth ulcers, and anemia’s. Radishes also have anti congestive properties and used effectively in nasal congestion, cough and respiratory infections.

It is very interesting to know that radish leaves are more rich in vitamin C, foliate, and calcium and phosphorous so leaves should be used along with roots. Radish is soothing to skin, relives dryness, and gives softness to skin. Radishes are very good for proper digestion because of roughage and water content and relieve constipation and bloating of abdomen.

In this page, we are going to discuss about radish benefits and advantages and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.


Radish Benefits In Urdu
Makhturi shakal ki mashoor aam jar hai jo dik dairh balisht lambi hoti hai is mi phaliyan singray ay mongray kehlati hain. Pukhta honay par in kay ander say rai ki manind tukhmim nikaltay hain.

Rang, safaid, sabz, zaiqa shoriyat maeil aur tez mizak gram-1 khushk,-2miqdar khurak, mooli aik adad bad az ghiza. Pani 4 tola say 6 tola tak,namak 1/2say dairh masha tak.

Tukham aik masha say 2 masha tak, maqame paidaish,harjagha maidani ilaqaymein is ki kasht ki jati h ai afal o istemal,madar bol,kasir riyah aur hazim ghiza hai. bazate khud hazam hai. is liya mooli ko nihar mun aur ghiza say pehlay na khana chahay bawasir ko nafah hai.

Mooli ya is kay mongray ya pattay 5 tola,kali misri 2 tola,bhuri mirach 5 adad pani kay sath peec chan kar pilana masson ki kharish,jalan aur dard rafah karta hai.

Gurdah-o0masana ki pathri tordaiti hai sudda jigar ko kholti hai. is liya katorko mufid hai. balgham ko chantti hai. tukham mooli ka joshanda balghami amraz mein qay lana kay liye istemal kartay hain.

Tukhame mooli beruni tor par jali hone ki wajah say chehrah ki siyahi, jhain, bars, bahaq ko door karney aur chehray ka rang saf karnay kay liye munasib adwiya kay hamrah peec kar zamad kartay hain.mooli ko sirka mein parwardah karkay waram tehal mein khilatay hain.

Mooli kay patton mein quwat aurar nisbatan ziyadah hoti hai mooli kay patton ka pani shaker surkh mila kar yarqan mein pilatay hain aura be maruq bilhasar afsa ko mararah say isi terha saf kardaita hai.

Jis terha malinat amako. Chunanchay baz atba altehab qanat safravi aur altehab mararah mein abe mako maruq,aab kasni marooq,aabe tarb sabz maruq, sharbate bazori har aik char tola istemal kartay hain. Moooli kay patton aur jaron ka batariq maroof nikala jata hai josang gurdah-o-masana ko kharij karnay kay liye khilatay hain hujral yahood ko kushta karti.

Abrak mehloob ks umdah kushta mooli kay pani mein kharal karkay das barah anchon mein tayar hojata hai.
Mooli who pasandidah sabzi hai jisay log zoq o shoq say khatay hain.

Yeh jur wali who mashoor aam sabzi hai jo bay shumar awariz ka shafi ilaj hai isay angrezi mein redish kaha jata hai. duniya bhar mein paee jati hai. yah surkh aur safaid do qisam ki hoti h ai.

Salad kay tor par dopaihar ko isay kacha khana bay had mufid taslim kiya gaya hai. is ka namak bhi tayar kiya jata hai aur kaddu kush karkay ghee mein mila kar is ka paratha bhi umdah hota hai.

Phosphorus
Calcium aur vitamin C kay alawah is mein folad ki khasi miqdar hoti hai is ka mizaj garam tar hai.
Pathri ki soorat mein aur gurdah masana say rait anay ki halat mein mooli ka istemal bay had mufid aur zud asar hota hai aur agar in amraz walay isay musalsal istemal karain to in kay jisam say raiz raza hokar pathri kharij hojati hai.

Yeh khud dair hazam hai magar doosri ghizaon ko hazam karnay mein sab say aham kirdar ada karti hai . bawasir kay marizon kay liya mooli ka ras aur mooli kay pattay bay had mufid hain. Agar log isay bator salad istemal karain to isay khanay say massson ki jalan o kharish kam hojati hai.

Muli ko barik kat kar aur phir isy namak laga kar khain to yeh bay had laziz hoti hai aur kharabi jigar mein yeh bay had mufid hoti hai.

Muli kay patton ka pani nikal lain aur isay chini mein mila kar pinay say yarqan ka marz khatam hojata hai. isay khanay kay bad gur khain to muli hazam hojaya karti hai. muli jigar kay fail ko durust karnay mein say say behtar dawa aur ghiza hai muli  khanewalon ko pila pan aur kamye khoon kay amraz say ifaqa hota hai.

Muliuyon ko koot kar in ka araq kapray say chan kar nikal lijiye aur do tin bar kiray ki kati huee jagha par lagadijiye. Har qisam ki taklif aur jalan khatam hojaigi. Jis qadar muli ka yeh araq purana hoga isi qadar tez behdaf hoga.
Sabz pattay muli kay lain aur in ka tin chantank pani nikal lain  dononko is qadar aag par pakain kay who jal jai isay nim garam kan mein dalain kan dard foran band hojaiga.

Naram patay muli kay jis qadar aap khasakain khatay rahain. Is mein bees ya bees din mein paishab kay rastay pathri kharij hojati hai.

Jigar ka koee bhi arza ho to rat ko aik muli lay kar shabnam mein rakh dijiye isay subha uth kar nihar mun khaye. Aap tin haftay mein kisi bhi doctor say apna moaena karwalijiye aap marze jigr say nijat pa chukay hongay.

Muli ko barik tukron mein kat lijiye aur phhir isay sarson kay tail mein dal kar khoob garam karkay ras nikal lijiye aur phir is tail ko kisi bhi shishi mein mehfooz karlain dard kay waqt kan mein chand qatray tapkalijay shafa nasib hogi.
Muli khanay say paishab ki sabhi bimariyan durust hojati hai aur jugar o masana ki garmi ko door karnay mein muli aksir azam hai.

Atba nay adh sair muli kay pani mein chini mila kar har roz yarqan kay marizon ko pinay ka mashwarah diya hai. is say mariz ko ishal hon gay aur roze awwal hi is kay istemal say yarqan ka zor khatam hojai ga.

Band paishab muli khatay rehnay say khul jata hai.  paishab ka ruk ruk kar atan. Jal kar ana,kam ana,ya qatrah qatrah ana yah sab shikayat muli khatam kardaiti hai.

Muli ka ras ankhon mein aik do qatray daltay rahain dhund,phula jala aur motiya band ko bhi is say shifa hasil hoti hai aur nazar tez hojati hai.
Muli ko kali mirach laga kar khain. Masurhon kay amraz aur piorhia ko shafa hogi aur is terha dant bhi mazboot hojain gay.

Muli kay patton ko pani mein khoob ghot kar yeh pani pinay say sharab ka nasha utar jata hai. muli khanay way aap ki antariyon ki harkat tez hojaigi. Qabz khatam hojaigi. Muli khatay rehnay say masna ki pathri tut jati hai. aur raiza raiza joker jisam say nikal jati hai.

Muli kay beej limon kay ras mein peec lain aur dard ki jagha malain shifa hasil h ogi hangir jisay khanazair bhi kaha jata hai. ki giltiyon par muli kay beej bakri kay doodh mein kharal karnay kay bad laip kardain is ka mutawatir istemal in giltiyon ko door kardaita hai. muli ka johar,muli koot lain aur is ka ras nikal kar isay naram aag par pakain. Garha honay par utarlain.

Phir isay shishi mein dal kar rakh lain. Magar dhoob mein khushk karnay kay bad shishi mein rakhain. Isay khanay say sakht tarin dard gurdah ko aram ajaiga. Miqdar do masha hai. isay khanay say paishab band hoga to khul jaiga.

Muli ka achar mazedar aur bay had faida mand hota hai jo mandaja zail fawaid day ga. Isay khanay say bawasir,tilli aur ruka huwa paishab khul jai ga aur paishab ki sabhi takalif ko aram ajaiga. Muli ka achar sirkay mein banana mufid aur faida mand hai. muli ka namak,do muliyan lain aur inhain dhokar saf karlain phir kat lain phir inhain dhoop mein khushk karlain.

Phir inhain saf pukhta farsh par karahi mein jalalain. Jab jal jain to is ki rakh ko pani mein dal kar khoob bilain kaee din tak din mein do char bar hilatay rahain. Is terha muli ki rakh ka sara asr is pani mein ajaiga.

Chothay din ya nithra pani alag karlain aur rakh giradain phir is pani ko pakain jo bachay isay khurach lain aur shishi mein bharlain. Yeh muli ka namal tayar hoga.

Aik masha namak ya shahad mein mila kar chatanay say dama khatam hojaiga. Har roz chach kay hamrah aik masha namak muli khilanay say sabhi amraze jigar khatam hojatay hain.aur yarqan door hojata hai.garam pani kay hamrah aik masha namak muli khilanay say bad hazmi khatam hojati hai.

Chaar guna shahad mila kar namak muli hal karlain. Is ki chand salayan ankhon mein lagain isi say ashob chashm door hojaigi. Adha masha namak muli garam pani kay hamrah khilain. Zukam o nazla ko aram ajaiga. Ankhon mein namak muli ki aik aik salaee laanay say nazar tez hojati hai.

Namak muli mein chini milalain . aik masha har roz khain, purani khansi ko shifa hasil hogi  chutki bhar namak muli sunghain. Nazla,zukam aur dimagh kay kiron ko khatam karnay kay liye bay had mufid hai. thanday pani say namak muli khain. Paishab ruk ruk kar ana,kam ana,qatrah qatrah ana,pathri,dard gurdah o masana aur rait anay mein bay had mufid hai.

Rasot ko do duna muli kay ras mein hal karlain aur isay naram aag par pakain kafi garhi hojanay par isay nichay utarlain aur jab sakht hojai to chanay kay barabar goliyan banalain. Inhain subha o sham khain. Bawasir khatam hojaigi.

Muli kay tukray kat lain aur namak lagakar aik plate mein rakh lain rat bhar isay shabnam mein para rehnay dain aur phir isay subha khalain is terha kartay rahin bawasir yaqinan khatam hojai gi. Muli ko mirch,masalah aur namak kay baghair har giz na khain. Khud hazam nahin hoti balkay dosri ashia jo khaee jain inhain hazam karti hai.isay khanay kay bad gur ki zara si miqdar zaroor khain. Muli khanay kay bad is kay chand pattay khain. Is say mun say bu khatam hojaigi.muli ko rat kay waqt mat khain.

Barabar kay talon mein muli ka ras milain aur naram aag par pakain jab ras jal jai aur sirf tail baqi rh jai to isay chan lain aur botal mein dal kar rakh lain. Is tail ko nim garam karkay  kanon mein daltay rehnay say kan dard aur kan ki jumla bimariyan door hojati hain. Nisf tola muli kay beej lain aur isay garam pani say khilain is say band haiz jari hojata hai. muli ka ras das tola har roz namak mila kar pitay rehnay say tilli ka marz khatam hojata hai.

Muli ka ras ganj par har roz ragrain. Aap kay sar kay bal ugnay lagain gai muli kay bijon ka tail nikal lain aur isay har roz uazu makhsus par malain har nuqs khatam hojaiga. Har roz muli beej nisf tola khain. Quwate bah barh jai gi aur mani garhi paida hogi.

Bichu par muli ka ras nikal kar dal dain. Bichu mar jaiga aur is ka ras bachu kay katay par malin jis say zakham khatam hjojaiga.

Muli ka ras hathon par mal lain aur phir inhi hathon say bichu kakarlain bichu dang nahin mar sakay ga. Muli ko sirka mein bhigo kar khanay say waram silli tehlil hojata hai.

Muli ko sard mizaj log kam say kam istemal karain. Yeh danton aur halaq kay liye muzir hai aur yeh dimagh kay liye bhi mufid nahin hai. yeh danton aur halaf kay liye muzir hai aur yeh dimagh kay liye bhi mufid nahin ha.

Pathri walay marizon kay liye yeh bay had zaroori hai kay who muli khain aur muli kay pattay bhi istemal karain. Din mein kaee bar muli kay pattay khanay say is marz say shafa milti hai.

No comments:

Post a Comment