Translate

Friday, 16 November 2012

Potato

Potato

Potato: Potatoes are commonest vegetable used by people and is a staple diet like rice and wheat in many countries. This is because potatoes have high content of carbohydrates, which give energy instantly.

Although potatoes are famous for their rich carbohydrates content but in reality, this vegetable is full of healthy nutrients, it is very easily digestible food and ideal for ill, old and very young individuals, in babies; weaning is started mostly in form of mashed potatoes. In children, these are very beneficial foods because children need   carbohydrates and energy for their physical and mental growth, which can best be provided by potatoes.

Potatoes contain vitamin C, which is antioxidant and prevents gum and mouth diseases like mouth ulcers, gum bleed and skin infections. Potatoes also contain minerals like sodium, potassium, calcium,, phosphorous, zinc and magnesium.

All are required for healthy functioning of cells. Potatoes are good food in diarrhea due to its fiber content, which prevents loss of water and dehydration seen in diarrhea. Potatoes are also good for skin and its juice can be applied locally to fade freckles and dark circles. Steamed or boiled potatoes are healthier than fried ones because fats in frying oil overcome the nutrition of potatoes.In this page, we are going to discuss about Salad Leaf benefits and advantages and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.


Potato Benefits In Urdu
Zaiqa phika,mizaj sard aur khushk pehlay darjay mein aik mashoore aam sabzi tarkari hai jis kay pattay upper aur phal zamin mein hota hai. Miqdar khurak bees tola,maslah,garam masalah,afal o istemal,qabiz nifakh aur dair hazam hai. Azu sokhta par laganay say foran ghiza khaya jata hai. ghair rasmi hai laikin phut niklay to zehrili tasir karsakta hai.

Alu aik mashoor aam sabzi hai jo zamin kay ander paida honewali sabziyon mein say aik hai yeh har mulk aur har khittay mein khaya jata hai aur isay mukhtalif tariqon say paka kar ya ubal kar istemal kiya jata hai. batore salan,batore chips,kabab waghairah alu har maqam par mojud raha karta hai. is ki kaee iqsam hain. Magar in sab mein say surkh gola,behtarin alu ki qisam hai. alu hamaisha tazah achay aur faida bakhsh hotay hain. Inhain store mein rakha jata hai. magar store kay alu,faida mand aur mazedar kam hotay hain.

Namkiyat roghani ajza,protein aur vitamin H,C,E,B,D ki wafar miqdar alu mein mojud hoti hai. sabziyon mein mukhtalif vitamins sab say ziyadah alu mein paee jati hain. Is ka mizaj sard khushk hai.

Ilaaj
Alu ko ubal kar ya paratha bana kar khana sab say ziyadah mufid hota hai aur gosht kay hamrah alu ko khana bhi faida bakhsh hai. alu reh aur nafakh paida kardaita hai. alu ka ziyadah istemal karnay say sodadi madah mein tehrik paida hoti hai. is liye isay aitedal say ziyadah istemal karnay say sodadi madah mein tehrik paida hoti hai.

Is liye isay atedal say ziyadah munasib nahin hai. yeh baroz ko garha kardaita hai. badi paida karta hai aur balgham bhi is liya alu ko garam masalon kay sath istemal karna zaroori hai.dair hazam aur qabiz hai. maday mein nafakh paida kardaita hai. dair hazam khurak honey kay sabab kamzor maday walay ashab is ka istemal kam karain.

Naqras,ganthia aur badi kay marizon ko alu istemal nahin karna chahiye.
Alu mani paida karta aur mani ko garha karnay ka sab say bara zaria hai. alu mein bay had ghizayat hoti hai agar isay ata ya roti ki adam mojudgi mein sadah halat mein ubal kar bator ghiza bhi istemal kiya jai to koee haraj nahin. Is terha istemal honewali wahid sabzi hai. is mein bay had ghizayat hoti hai. alu jisam ko taqat daita aur laghari khatam kardaita hai.

Agar jali huee jagha par alu ka laip kardain ya alu kat kar rakh dain to dard ko ifaqa hota hai. is maqam par abla nahin parta aur jald aram ajata hai. alu har chand reh  paida karta hai. magar jaisa tibi usul hai kay reh paida karnewali ghiza quwate bah ko harkat mein lanay ka bais banti hai.iter terha alu bhi quwate bah mein tehrik paida karta h ai.

Alu jisam ko taqat daine wali sabzi hai magar isay masalon aur gosht kay hamrah istemal karna zaroori hai wagarna is say zaroori fawaid hsil nahin hopatay.

Alu ko mandarja zail tariqay say ganthiya aur wajah almafasil walay mariz istemal karain bay had faida day ga. Alu tanur mein dal kar khoob bhoon lain aur phir is ka chilka utarain aur namak mirach laga kar isay khain. Wajamah almafasil walon ko yeh aik hafta mein durust karday ga. Woh mariz jin kay pait mein yani jigar ya gurdah mein pathri hai Woh alu ka ziyadah say ziyadah istemal Karin aur phir din bhar mein char panch sair pani bhi piyain. Pathri raiza raiza hokar nikal jaigi.

Alu hazam hojaney par behtarin sabzi hai aur sab say faida mand bhi magar yah dair hazam hai kamzor maday wqalon ko alu ka istemal kam say kam karna chahiye kiyunkay inhain yeh nafakh paida karday ga. Qudrati ilaj kay mashoor doctor calog ki rai hai kay aluwon ko tanur mein dal kar achi terha bhoon lain.

Achi terhan bhun janay par in ka chilka utar kar namak laga kar khilain isterha aluwon ko khanay say wajamah almafasil yani ganthiya kay marizon ko bohot faida hota hai. doctor hindi day aluwon ko pathri kay liye mufid batatay hain. In ka kehna hai kay mein nay pathri kay marizon ko sirf aluwon ki khurak par rakha. Is doran mein in ko din mein char panch sair pani rosz diya jata tha. Is tariqa ilaj say in ki pathri raiza raiza hokar kharij hogaee.

Pait mein nafakh paida karta hai. dair say hazam hota hai jalay huway maqam par alu ka laip karnay say dard o jalan ko foran aram ajata hai. alu hazam hojai to insane ka wazan barh jata hai. jin logon kay pait mein gas paida hojati hai aur jin ka maday kamzor hai aur gurdah masana kay imraz kay mariz alu kam istemal karain.

No comments:

Post a Comment