Translate

Friday, 16 November 2012

Cucumber


Cucumber

Cucumber: Cucumber is well known vegetable found globally and cultivated in almost all parts of world, these are best for skin and weight loss this is because of their high water content and numerous vitamins and minerals. Nearly more then 70% of cucumber is water, water is best detoxifying agent and clears body toxins.

Water increases urinary flow and thus lowers blood pressure and flush urinary tract and prevents urinary tract infections. Water alone is also beneficial for lowering blood sugar levels.

Cucumber juice is excellent drink for shiny beautiful skin. Cucumber contains huge quantity of fiber, which lowers cholesterol, useful in treating constipation and obesity. Cucumber is also a good store of vitamins; it contains vitamin A, vitamin C, vitamin K and folate.

Among minerals, calcium, potassium, zinc, selenium, copper and magnesium are also present in enough quantity; cucumber has very low sodium content and very useful in patients with high blood pressure and heart disease.

There are many nutrients present in cucumbers which act as anti oxidants, anti-inflammatory and anti cancer agents. Cucumber peel or skin is very much stuffed with the healthy nutrients so cucumber must be used with their peel to get   maximum concentration of nutrients. Best way to eat cucumber is to eat it raw in form of salad.

In this page, we are going to discuss about cucumber benefits, advantages and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.


Cucumber Benefits In Urdu
Qudrat ki yeh thandi sabzi aap ki khusurti mein izafa ka aik aham sabab banti hai . kheray mein  pani ki wafar miqdar mojud hai jis ka tanasub 96 fisad hai aur yeh aap kay jisam ko bohot ziaday nami faraham kar sakta hai khususan mosame garma mein khiray ks istemal bohot ziaydah karna chahiye is ki paidawar bhi bohot ziyadah hai aur yeh hamaray jisam ko thandak aur tazgi baham pohoncha ta hai.

Apnay mazedar zaiqay ki badolat khiray ko duniya har mein mukhtalif dishain tayar karnay kay liye istemal kiya jata hai jaisay turki ka mazedar cold soup,mashriqae wusta mein dahi ka salad,cold salmin,dish par yeh garnish kay tor par istemal hota hai bartaniya mein chai kay sath sandwich mein mustamil hai aur unan ki dish,tea ransiki mein is ka istemal hota hai unan mein to khira logon ki khurak ka aham juzu hai.

Khiray kay baray baray tukray kat kar isay timatar,siya mirach,feta,roghane zaitoon aur safaid sirkay kay sath mila kar laziz salad kay tor par khaya jata hai. behre rom kay sahili ilaqon ki cold dishon aur khususan salad mein khiray ka istemal zaroori hai,khiray ko lehsan aur doosri nabataton ka sath tal kar is mein sawar cream shamil karkay mehmanon ko paish kiya jata hai.

Khiray mukhtalif jasamat aur shaklon mein dastiyab hain duniya bhar main in ki 100 aqsam farokht hoti hain duniya bhar ki kasht ka do tehaee hiss khanay kay kam ata hai jabkay baqi chatni,achar bannay mein istemal hota hai. khanay kay liye tazah khira farokht hota hai jabkay achar ki shakal mein Woh botlon mein band dastiyab hai.

Khiray Ki Kasht
Khiray ki kasht bohot qadim hai.aik ghar mein paey gaey is kay bijon ki madad say waqt ka tayun karnay kay bad andazah lagaya gaya kay isay sab say pehlay barma aur Thailand ka ilaqon mein kasht kiya gaya tha yeh mosame garma ki sabzi hai aur isay ugnay kay liye kagi garam mosam darker hai.

Kharidari Aur Zakhira Andozi
Asia kay khiray amooman kantay dar hotay hain. Khai janewalay kachay khiray gehray sabz hotay hain in kay siray gol aur gudah zardi meil hota hai.

Hamesha sakht khiron ki kharidari karain in par na to koee dhabba ho aur na hi kahin say pilpilay ho phulay huway khray ziyadah pakay hotay hain Woh khanay mein talkh hotay hain aur in kay ander baray aur sakht beej paida hojatay hain.

Khiray ko sabit halat mein refrigerator kay salad kay khana mein rakhna chahiye. Naram parjanay par isay phaik daina chahiye achar mein istemal honewalay khiray jasamat mein chotay aur ziyadah sakht hotay hain taham Woh sirf mosame garma mein hi dastiyab hotay hain inhain doosray khiron ki terha salad kay tor par bhi khaya jasakta hai albatta in ka chilka sakht hota hai aur isay cheelna parta hai.

Acharwalay khiray nisbatan ziyadah pilay hotay hain aur kachi halat mein in ka zaiqa karwa hota hai Woh bohot jald khushk bhi hojatay hain. Achar bananay kay liye inhain safaid sirkay mein dala jata hai aur is mein namak kay alawah chand asia aur bhi shamil ki jati hain. Tin say char hafton mein achar tayar hojata hai phir isay refrigerator mein do mah tak rakha jasakta hai.

Kitchen Mein Khiray Ka Istemal
Khiray ko istemal say qabal cheelna ya na cheelna zati pasand ya na pasand par munesir hai mulaim chilka pakay huway khanay ko ziyadah khastagi bakhshta hai aur is ki ghizayat mein mazid izafa hojata hai agar beej ziyadah sakht hon to inhain nikal kar alaidah kardain agar isay baghair chilkay khana ho to khoob achi terha dholain.

Khira amooman kacha hi khaya jata hai is kay barik qatlay kar kar salad ko sajanay kay liye is par rakh diya jata hai is ko lambi shakhon kay tarz par kat kar bhi istemal kiya jata hai.

Khiray ki sabzi bhi bohot mazedar banti hai. khiray ko kat kar beej nikal dain phir inhain chand minute tak halki aanch par pakain. Yehan tak kay Woh naram hojain.

Khiray kay piyalay bana kar inhain kachi halat mein bhi khaya jasakta hai. ya in ko gosht aur doosri sabzi bhar kar back kiya jasakta hai.

Khoob surat cup bananay kay liye isay cheel kar beej say kat lain aur chamchay ki madad say is kay ander kay beej nikal dain is terha Woh ander say khokhla hojaiga.

Tibbi Ahmiyat  
Khiray kay ander madaniyat wafar miqdar mein mojud hoti hain khiray ka juice bohot ziyadah tibbi ahmiyat ka hamil h ai khususan maday ki tezabiyat ko rafah karnay kay liye yeh aksir hai yeh qabz ko rafah karta hai.

Afzaishay Husn
Khira jild ka behta rin dost hai isay kash karkay chehray ankhon aur gardan par 15 say 20 minute tal lagai rakhain to yeh behtarin tonic ka kam karta hai.

Khiray kay juice mein laim juice aur arqe gulab mila kar chahray par malnay say aap ka rukha aur chikna complextion roshan hojaiga khiray ka juice aur doodh barabar miqdar mein lay kar is mein chand qatray arqe gulab mila dain aur 15 say 20 minute kay liye chahray par malain to aap ki hassas jild mulaim aur roshan hojaigi. Yeh lotion halkay bleaching agent ka kam bhi karta hai.

Ankhain band karkay in kay upper khiray kay slice kat kar rakhdain aur pandrah minute talk rehnay dain to ankhon kay gird paray huway siyah halqay door hojain gay aur ankhon mein chamak ajaigi.

Khiray ja juice balon ki afzaish mein bhi madad daita hai. khiray kay makeup kit mein mandarja zail ashia shamil hoti hain. Potashium,sodium,magnesium kandhak chlorine aur florine.

No comments:

Post a Comment