Translate

Friday 16 November 2012

Bitter Gourd


Bitter Gourd

Bitter Gourd: Bitter gourd is green cylindrical vegetable with warty surface and cavity containing large white seeds. They have extremely bitter taste. They are commonly cultivated and consumed in Asia, Africa, and china.

Although bitter but its taste is greatly altered by cooking and marinating and mixing with spices and meat. Bitter taste can also be decreased by adding salt before cooking. Bitter gourd is popular for its anti diabetic properties; this is very effective in controlling blood sugar levels.

There are several substances present in it, which have hypoglycemic effects and act like insulin to control the sugar levels in blood. Insulin is hormone, which lowers the blood sugar levels and its deficiency or resistance in body results in diabetes.

Bitter gourd also contains almost all nutrients like carbohydrates, proteins, vitamins, and minerals; it is very good blood purifier and removes toxins from body. Its use is very effective in liver disorders, skin problems like acne, boils and abscesses effective in relieving constipation. They also have fiber, which lowers blood cholesterol, and prevent from many intestinal cancers.

It has got many anticancer, anti-inflammatory, antiviral and antibacterial substances. If taken regularly in diet they have numerous healthy effects on body.

In this page, we are going to discuss about bitter gourd benefits, advantages, and diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.

Bitter Gourd Benefits In Urdu

Bitter Gourd Benefits In Hindi
Karela aik mashoor sabzi hai jo khana kay sath sath mohaoray mein bhi istemal hoti hai.
“Karela aur nim charha.”

Talgh mizaj logon kay liye yeh misal sadiyon say aam hai yeh do qisam kay hotay hain kasht shudah aur jangli karelay ko kakorah kaha jata hai. jab kay kasht shuda ki bhi do qismain hain.

Kasht shudah karwa aur jangli mazedar hota hai. gosht ya qimay kay sath pakaya jata hai. is kay beej agar sakht hon to nikal diye jatay hain.pakanay say pehlay isay namak laga kar kat kar dhoop mein zara dair rakhnay kay bad dholain aur phir pakain karwahat kam hojaigi aur zaiqa kisi qadar munasib hojaiga.

Folad, calcium, phosphor , protein aur vitamin B aur C is kay ajza hain is ka mizaj garam khushk hai.

Dard ko nafah daita hai. Joron kay dard aur ganthiya ki nafah bakhsh ghiza hai. Balgham ko khatam kardaita hai aur isay khanay say pait kay kiray halak hojatay hain. Yeh aik nazuk patri bail hai jis ka phal bazvi thaila numa shakal ka hota hai.

Phal ka sira nok dar hota hai aur sadah phal kay tool mein ubhri uee qatarain hoti hain. Jin mein gol gol ubhar uthay hotay hain. Is ki shakhon aur patton ki donon sathon par ruwain hotay hain.

Rang kham sabz, pukhta surkh ya zard,zaiqa, talgh mizaj garam, khushk.

Maqame paidaish panjab mein ziyada tar is ki kasht ki jati hai magar jangalon mein khud rub hi paya jata hai. afal o istemal mein tabah,muqavi maday aur qail aur karam shikam hai.

Iss ko paka kar bator nankhorish istemal kiya jata hai is ko cheel kar namak mein mila kar aab-o-talgh dor karkay katri piyar aur chanay kid al kay sath sadah ya gosht mein pakatay hain aur kabhi is mein qima gosht masalah samit bhar kar walma tayar kartay hain.

Safra aur balgham ka mashal hai. sard mizajon kay maday ko taqviyat daita hai. pait kay kiray marta hai. falij, laqwah, astar khao jama mufasil naqras, diabetes, yarqan, waram tehal aur jaludhar ko mufid hai. karelon ko saya mein khushk karkay safoof bana kar do masha rozana khana farbehi ka azala karta hai. jab istaqa jigar ki kharabi say ho to tazah karela ka ras sat tola,shahad 2 tola mila kar rozana pilanay say do tin dast akar madh marz ka ikhraj hojata hai.

Mararah ki pathri mein is ka pani do do tola subha-o-sham aur roghane zairoon 2 tola doodh mein mila kar sotay waqt pilana bohot mufid hai. kina colony afriqa mein pakay huway phal kay bej alaihdah karkay roghane badam shirin mein ghot kar zakhmon mein lagatay hain.

Karela mosame garma say shurooh hokar barsat tak garam mumalik mein milta rehta hai. karelay ka mizaj garam khushk hai. karela qabz kusha hai aur jisam insani say har qisam kay zehron aur rukay huway fasid madon ko batadrij kharij kardaita hai. karelay kay namkiyat insani machinery mein is kami ka bhi tadaruk kartay hain jo pasina ki soorat mein namak kharij honey say paida hoti hai jin hazrat ka madah kharab gas ki ziyadti,bay cheni,takan,paon jalna aur pindliyan bojhal rehti hon in kay liye aik asan nuskha hai.

Aik chantank say panch chantank tak hasbe umar-o-bardasht tabah karelay rat ko bahar rakh diya jain aur subha baghair chilkay utaray aur beej nikalay pani nikal kar pi laina chahiye is mein vitamins, folad aur namkiyat wafar miqdar mein hotay hain. Diabetes kay liye yeh intehaee mufid hai.

No comments:

Post a Comment