Question 1: Mujhe leucorrhoea ki shikayat hai. mein kya karoon?
Shaadi se phelay mein bulkul thik thi lekin shadi kay baad mujay Leucrrohea ki shikayaat hogae hai aur pait kay nichlay hissay mein dard rehta hai, mein ki karon?
Answer 1: Shahid aap ko androni Pelvic infection hogaya hai, iska ilaaj Antibiotics se hosakta hai aur bar bar aisa na iss kay liyeh apna khawind ka checkup karwaye to acha hai apnay poshida uzaha ki safai ki taraf diyan dain, ganday kaparay aur pads istemaal na karay aur bath room mein bhi saaf pani istemaal karay.
Question 2: Mujhe les-dar mawad discharge hota rehta hai. kiya karoon?
Mein aik gair shaadi shuda larki hun, saal bhar se aik las dar sa mawad discharge horaha hai, iss se bari prashani hoti hai. Doctor ne phelay to antibiotic goliyan di, phir iss kay bad jab discharge khutam nahi huwa to yeh keh dia kay bacha dani mein zakhum hai tab se mein bohat fikar mand hun, mujay cancer to nahi? Kiya mukamal androni test kau bagair bata sakti hain kay bacha dani kay muhn par zukham hai?
Answer 2: Ji, nahi mukamal test kay bagair yeh batana mushkil hai keh bacha dani kay muhn par koe zakhum hai. umoman yeh masla shaadi shuda auraton ko parsahn karta hai aap ziadah parshan mat ho, aap ko cancer ki ilaamat nahi hain. Filal miraz masalay wala khana chorday aur aik month "liocol" ki goliyan le kar dekhian mujay puri umeed hai keh aap fiada hoga.
Question 3: Mujhe 10 years se anday ki safaidi jaisa les-dar mad'da discharge hota hai. Mujhe shaadi ke baad koi pareshani tu nahi hogi?
Meri umar 25 baras hai. mujay takreeban dus baras se Leucorrhea ki shikayaat hai phelay main ne koe khas tawaja nahi di. Lekin ab mein bohat parshan hun' mahwari kay do teen kay baad anday ki safiadi jaisa las dar mada discharge hota hai. jo khabi khabi 20 se 25 dino tak rehta hai. iss se mujay zehni parshani hoti hai. aap mujay mushwara dain. Mujay shaadi kay baad koe parsahni to nahi hogae.
Answer 3: Agar andham nahni se safiad mawad ka ikhraj ho ya lekhin kharish ya badboo to yeh akhraj koe bemari nahi. Mahwari se do teen din phelay ya mahwari kay teen din tak aur mahwari kay doran kay dino mein safiad las dar ka ikhraj hosakta hai, yeh qudrati hai aap parshan mat ho.
Question 4: Mujhe leucorrhoea ki shikayat ho gayee hai.
Mein aik Talba hun, mujay Leucrrohea ki shikayaat hogae hai. aap kay mushwaray kay mutabiq mein saafahi par kafi tawaja hun, phelay sab theak thi. Aap baraye marbani yeh bataye keh "cardial" khanwari larkiyaan le sakti hain?
Answer 4: ji haan, "cardial" khanwari larkiyan bhi le sakti hain, aap do teen mahinay cardial lain, aur apni saafahi par tawaja dain. Bhetar hai keh kisi lady doctor se mushwara karain.
Question 5: Meri naaf se safaid mawad nikalta hai. kya yeh leucorrhoea ki wajah se hai?Mein satrah baras ki talba hun, teen saal se leucorrhea mein mutbla hun, meri naaf se bhi safaid mawad se nikalta hai yeh bhi leucorrhea ki wajah se hai? iss wajah se bohat chirchiri hogae hun, meri kamar mein dard rehta hai kiya mein theak hojaogae?
Answer 5: Leucorrhea nojawani mein hona aam baat hai iss khabrana nahi chahaye, agar kharish ho to mahir lady doctor se rabta qaim karain, khub pani piyain, pait saaf rakhain. Kyun keh qabz mein leucorrhea ki shikayaat ziadah hoti hai. logon ka leucorrhea kay baray bohat galat khayaal hai keh iss se kamzoori hoti hai kamar mein dard rehta hai, to kisi doctor ko dekhaye aap ki naaf se safiad mawad nikalta hai iss ka leucorrhea se koe taluq nahi naaf ko detol se saaf karain yeh khud ba khud theak hojaye ga.
|
No comments:
Post a Comment