Abortion | Asqaat HamalAurat kay pait mein se muddat se pehlay bache ka raham se nikal jana abortion kahlata hai. Kai dafa aurat khood apni marzi se asqaat hamal karwati hai. Pehlay teen mah tak barha khatra hota hai.
Causes | Asbaab Is marz kay kayi asbaab ho saktay hain. Baaz awqat mareezah buhat kamzor ho jati hai aur hamal khood hi gir jata hai. Kayi dafa aurat kisi gunah ko chopane ki garz se asqaat hamal karwati hai. Baaz aoqaat mareeza ki jaan bachane kay liye hamal giraya jata hai.
Kayi aik beemaryan jaise aatishik, pechish, tip diq, dard gurdah aur larzay kay bukhar se hamal girjata hai. Kasrat mehnat se bhi hamal gir jata hai. Achanak kisi shaded zahni dhachkay se bhi asqaat hamal ho jata hai jiniyan aur jhillion ki kamzori waghairah bhi asqaat hamal ka sabab banti hai.
Clinical Features | Alaamat Mareeza kay jism mein thakawat aur dard hota hai. Tabiyat sust hojati hai kamar mein dard hota hai matli aur qai aati hai mareeza ko bukhar ho jata hai, raham mein khoon bahna shoro ho jata hai. Aisi halat mien mareeza buhat ghabrahut mahsoos karti hai.
Treatment | Ilaaj Mareeza ko dawayi ki bajaye ehteyati tadabeer ki zaroorat hoti hai ise hamal thahernay kay baad ziada mahnat wala kaam nahi karna chahiye. Mubashrat tark kadeni chahiye. Ziada garam ahsya nah khaye. Koyi dawai istamaal nah ki jaye jis se ghabrahat paida ho.Agar mareeza kisi jaan lewa beemari mien mubtiala ho jaye to bazaryah operation asqaat hamal kardena chahiye takeh jaan bach jaye.
Diet | Ghiza Mareeza ko zod hazam aur qowat bakhsh ghiza deni chahiye gaye ka gosht, daal masoor waghaira nahi khani chahiye.
Question 1: Mujhe bar bar abortion ho raha hai. Mein kiya karoo'n?Meri shaadi ko teen saal hogaye hain. Teen saal kay baad hamla huwi to 6 months baad hi achanak teez khoon discharge hwua aur doctor kay atay atay bacha fot hogaya jaisay doctor ne nikala. Iss kay baad phir hamla huwi ab ki dafa 6 months baad haml phir gir gaya. Mein bohat dar gae hun kiya karon?
Answer 1: Phelay haml kay baad aap ko aur aap kay husband ko aapna checkup karwalana chahaye tha. Ab diar na karay apni aur apnay khawind ki khoon ki janch karawaye. Aap ko androni mohiyna ki zarorat hai. Harmon kay level ka checkup bhi zarori karwaye. Iss malomaat kay baad mushkil kay baray mein maloom hojaye ga, to mukamal aram karay. Yahnii bed rest karay. Doctor se puchay kay aap ko "Circular stage" ki zarorat to nahi hai. umeed hai phir aap tandurust sehat mand bachay hi paida karsakian gae.
Question 2: Mai ghair shadi shuda pregnant hoo. Kaisey abortion karaoon?Mein 20 saala khawari larki hun, mujay 1 ½ months ka haml hai, mein gar walon se yeh baat chupana chahati hun, iss liyeh doctor se abortion nahi karwasakti. Baraye marbani koe aisi dawa bataye jis se mujay chutkara mil jaye, meri madad karay?
Answer 2: Agar aap hamla hogae hain to kisi qism ki dawa na le, kisi dawa se haml khutanm nahi hota hai. in dawaion se jigar aur gurdon ko naqsaan pouch sakta hai. puri trah se disposal na honay par Septic hosaktic hai. aap kay liyah munasib hoga keh kisi hamdard raazdar dost kau sath sarkari hospital kay khandani munsuba bandi kay shuba mein jakar lady doctor se MTP karwalay.
Question 3: Mera hamal bar bar zaye ho jaata hai. Mein kiya karoo'n?
Meri shaadi ko char saal hochukay hain, teen saal tak hum bacha nahi chahatay thay. Iss liyeh kuch din mane haml ki goliyan aur kuch din condemn istemaal kiya iss kay baad mein hamla hwui to lekhin kuch din haml rehnay kay baad isqaat hojata hai. shaadi kay phelay saal hi Abortion karwaya tha yeh issi ka nitija to nahi bar bar hamla hoti hun aur bar bar na umeed hojati hun. Hum ne khoon bhi test karaliya hai, iss mein koe kharabi nahi hai. mein kia karon?
Answer 3: Bar bar isqaat haml ki kaii wajohaat hoskati hai. Abortion huway to kafi din hogaye hain. Iss liyeh parshan na ho, lagta hai kay bacha dani ki kamzoori iss mislay ki jar hai. meri raa-ye hai keh kisi bohat mahir lady doctor ko aap dikhayain. Koe bohat fikar ki baat nahi hai, hamla honay mein jaldi na karay. Phelay apni sehat ko theak karlay, test karalay, agar bacha dani ka muhn chota hai to iss kay muhn mein taka laga dain, zachgi kay waqt yeh taka nikal dia jaye ga, doctor ki raa-ye kay mutabiq mukamal aram bhi karna chahaye, dosri wajah Harmon se mutaliq kharabi bhi hosakti hai. yeh donu mushkilaat dur hosakti hain. Iss liyeh aap mayoos na ho mujay puri umeed hai keh aap aik sehat mand bachay ki maa zaror banay gae.
Question 4: Mujhe laga-taat teen baar abortion ho chuka hai. Iss ki kya wajah hai?
Shaadi kay baad hi mein haml hogae. Lekin 1 ½ month kay baad isqaat haml hogya. Kuch mah kay baad phir hamla huwi lekin phir dobara wohi huwa. Aik baras kay baad jab teesri bar hamla hwui to phir doctor ne aram karnay ka mushwara diya. Teesray month phir isqaat haml hogaya. Meri aik dost ka kehna hai keh aisa meray khawanind ki kisi nadroni kharabi ki wajah se horaha hai kia yeh mumkin hai?
Answer 4: Ji nahi yeh koe zarori nahi hai, keh aisa khawanind ki kisi kharabi ki wajah se ho. Aap apna mukamal nadrni checkuop karwaye. Khawanind iss trah kay isqaat haml aky liye iss halat mein zimaydar hota hai jab keh "Chromosome" mein kharabi ho. Jab chromosome tandurust halat mein nahi hotay. Tab genuine mein kharabi reh jati hai aur qudrat azkhud iss kharab genuine ko jism se bhar kardiati hai, bhetar hoga aap donu apna mukamal mohiyna karwaye.
|
No comments:
Post a Comment