Translate

Monday 19 November 2012

Hepatitis B


Hepatitis B

Hepatitis B: Hepatitis B is a viral infection and it infects liver very badly. It is transferred from one person to another through infected body secretions which include blood saliva sweat semen and vaginal secretions. Common routes of infection are contaminated needles, unsafe sexual relationships, and unsafe blood transfusions. It is very common in intravenous drug abusers. There is no treatment of hepatitis but vaccine is available to prevent this infection and to modify the course of infection. In most people it remains undiagnosed for years and people come to know while doing screening for some other health problem. Prevention is better in this disease then treatment like safe sexual practices, using disposable and properly sterilized syringes and blood transfusions should be done after proper screening. In this page, we are going to discuss about hepatitis B and symptoms, precautions, diagnosis, diet and treatment in Urdu and roman Hindi for the people of Pakistan and India.

   

Hepatitis B Ka Ilaj Aur Alamat
Hepatitis B aik khatarnak liver infection hai. yeh  infection Hepatitis B Virus (HBV) se hota hai. Hapatitis B aagay chal ker chronic ho jaata hai jis ki wajah se Liver failure, liver cancer aur cirhosis ki beemari ho jaati hai.

Hepatitis B ke adult mareezo ki aksariat fully recover ho jaatay hai. jabkeh infant and children ki beemari chronic hepatitits B infection mai tabdeel ho jaati hai. agarcheh Hepatitis B ka mukammal khatma mumkin nahi, lekin vaccine ke zaria iss beemari ko roka jaa sakta hai. agar aap pehle se infected ho tu kuch precaution ke zaria Hepatitis B Virus ko mazeed phailne se rok saktay hai.

Hepatitis B Ki Alamat (Sign and Symptoms)

Hepatitis B ke sign and symptoms yani alamat foran zahir nahi hotay balkeh infection ke 3 months ke baad zahir hotay hai jo mamooli se khatarnak tak ho saktay hai. alamaat darj zail ho saktay hai:

abdominal pain yani pait mei dard, dark color urine, fever, joint pain, loss of apetite yani bhook ka khatam ho jaana, nausea and vomiting, weakness and fatigue, yellowing of skin and whites of eyes (jaundice)

Hepatitis B mein mubtala beshtar infant aur children mai Hepatitis b ki alamat nahi paayee jaati hai. yahi haal kuch adult mareezo ka bhi hai.

Doctor ke paas kab jaana chahiye?
agar aap mai hepatitis B ke alamat paaye jaatay hai tu aap ko apne family physician ya general practitioner se consult karna chahiye. ehtiatii tadabeer se hepatitis ka risk kafi kam ho jaata hai. lekin agar aap ka exposure hepatitis B se ho gaya hai tu phir aap per lazim hai keh apna ilaj 24 ghanta ke andar andar start ker dein. ilaj ke liye foran doctor se consult karain.

Hepatitis B aik khatarnak benulaqwami bemari hae ye jigar ke achanak kam band karne se hoti hae jise Fulminant Hepatic Failure kahte hain is se har saal dunya main 200 sey 300 lakh log mubtala hote hain.

Yeh mareea khoon ki muntaqli (Blood Tranfusion) gandi sirenge ka bar bar istimal or humjins taaluqat ke zariye jaldi phelti hae naqis khurak or manshiyat ka wareed istimal kerne se bhi virus dosre shakhs ko infection ka wasta bante hain or doran e hamal maa se bacho ko virus ho jata hae or ye amal bhot hi khatarnak hota hae, bacha peda hote hi bemar par jata hae, Hepatitis B ka virus macheron aur bister kay pisoon  mian bhi hota hai.

Hepatitis B ager shidit ikhtiyar kar jain tu Choronic Active Hepatitis ki shakal ikhtaiyar kar laita hai. Is say Liver ko bohat nuksan pohchta hai aur Cirrhosisof liver paida kerta hai liver main pani bher jata hai aur khurak kil nali say mayday main bleeding hoti hai yeh merz ki mout ki sabeb benta hai.

Hepatitis B kay liberty test liver ki kharabion ka test vahe hai jo epatitis kay liyai hai pehlay HBSAg daikhain ager miljai tu is li mukamal viral history tayar ki jai DNA-HBV bohat ziadah hisas virus ki tabdili ko zaher kertay hain. Aur kertay hain.

Mutants kay zeryai maloom kersaktay hain. HBSAg virus ki Infection kay 6 haftoon ya teen mahmain zaher hoti hai.aur aur pher ghaib hoti hai Anti HBs dair say nikaltay hain aur Immunity zaher kertay hain.

In kay baad mereez ko yer qaan hojata hai aur liver main surkh cells damage hojatay hain. Kuch arsay kay baad khud main Antibodies paida hotai hain ager khoon main HBs-AG ver gm!Anti HBc dono mojood hoon tu pata chalay ga keh jigger main Infection mojod hai Hepatitis B ki Vaccination infection door kerti hai.

Hepatitis B ka khaas ilaj nahe hifazati aqdamat ziadah faidah mend hain
munshiyat ka istamaal stop ker daina chahyai.
1. Hospital ya dispensary main nurses ko gandi siring istaimaal nahe karni chahyai.
2. Tawaif ya bazari aurtoon say taloqat mana karnay chahyai.
3. Jin merizoon kay khoon main Anti ya HBV DNA ho in say is ki Infection ki waja pochni chahyai.
4. Hospitals main doctors aur nurse ko ko injection bari ihtaiyat say istaimal karni chahyai isko apnay hath main chobnay nahe daina chehyai. Ilaaj va mualjah kay istaf ko Vaccination kervani chahyai.

Ager kisi ko infection hojai tu Hepatitis B Immune Globulin 0.06 mili liter fi kilo gram baihisab jismani waits  Vaccine ki infection ho in ka 7-9 month kay baad Antibody level daikhna chahyai.

Hepatits B kay merizon ko aram ki zaroorat hoti hai kionkeh liver kemzoor hota hai aur pher nay say jism main kemzori paida hogi. Libas saaf rakhna chahyai. Cheknaii valay khanay eg: ghost ,egg aur dhood vaghaira istamal nahe kerna chahyai. Belkeh light feed khani chahyai takeh liver aser andaaz na ho.             
                                                                                        
Chronic Hepatitis B
Chronic Hepatitis B taruqi yafta mumalik main HBV ki bigeri hoi kism hai aur bohat khaternaak hai America main yeh yeh bimari High Risk logon main ziada hai.Chronic HBV ki Infection do Phases apni jaga moqid rehna(Replication) aur takmeel kerna (Integrated) main say guzerti hai pehlay merhalay main is kay virus sozish liver kay saath miltai hain aur merhalay main mereez HBs Ag aur HBV DNA musbet toor per bhot ziadah mutasir hota hai jis satah per khoon main HBV DNA ka level kem hojata hai.

Jab HBV DNA kai saath milta hai tu mereez per Ag HBe munfi hojata hai aur Antibody HBe musbaat hota hai is merhalay per liver shirink hojata hai aur thora sa sooj jata hai

Clinical And Diagnosis
Chronic hepatitis men mein ziadah hota hai aur is say pehlay mereez ko koi hamla der paish nahe hota. Almat ahista ahista maamoli si zaher hoti hain teqri baan 50% merizoon ko jigger ki bimari hoti hai.
ALP mamoli berhti hai. Bili roben ki haalet normal hoti hai. Ba'azauwqat Chronic Actiue Hepatitis ki shakal ikhtiyar kar leta hai. Iss say Liver ko bohat ziadah nukhsan puanchta hai, aur liver mmukamal tur par sukarh jata hai.

Pait mein pani bhar jata hai, meaday mein Bleeding hoti hai, mareez Eneepalopathy Hepatic mein mubtila ho jata hai aur phir uss ki mot waqah ho jati hai.

Agar mareezoon kay seram mein HBV DNA aur HBsAg. HBcAg hai, to unn ka Liver Biopsy par ilaaj karna chahiay, takay HBe Ag aur HBV DNA ko seram say kharij keya ja sakay. Iss ilaaj kay Side effects bohat saray hain phaelay injection kay 6-8 ghantay baad mareez ko Flue (nazlah wagherah) ki shekait ho jati hai.

Bar bar infection lganey say io khatam ho jata hai, lekin jism kay azlaat aur sar mein dard hota hai. Khoon ka dabaoo, heeza, baloo ka gerna aur hadhyoon mein infectin ho sakti hai. Yah Reaction 30% mareezoon ko hota hai.
Hepatitis B Ka Ilaj (Diet)
Iss bemari mein mariz ko aisi ghizaye daini chahaye jo mariz ki quot-e-mudafiad barhaye jaisay kay phal aur sabziyaan kay soup, aisi ghiza na dy mareez ko jis main zada oil, ghee, aur mirch masalay ho. Sab sey zarori yeh hai kay mareez ko saaf aur jariseem sey pak pani diya jaye.

No comments:

Post a Comment