Translate

Tuesday, 10 April 2012

Pregnancy In Urdu And Hindi



Pregnancy In Urdu

Pregnancy In Urdu And Hindi
Question 1: Hamal ke mahina ka hisab lagane ka tareeqa kiya hai?Meri shaadi hoye aik baras ho gia hai. Ab mein haamlah hon. Doctor kay kehnay kay mutabiq mujhay mahinay ka hamal hai, jabkeh meray hisaab say teen hi mahinay lagtay hain. baraye maherbaani batayain keh hamal kay pooray mahinay ka hisaab laganay ka tareeqah kia hai?

Answer 1: Agar aap ko apnay maahwari chakkar ki tareekhain thik say yaad hain, to koyi mushkil nahi honi chahiye. Guzashta pehlay din say mahinay ginna shoro kia jata hai. yani jis tareekh ko aap ko mahwari aana thi, agar iss per nahi aayi to samajhna chahiye keh istaqrar hamal hoye aik ma how chukka hai. iss tarah no mahinay ka hisaab lagaya jata hai aur phir iss mein saat din shamil kar diye jatay hain. saat din shamil karnay kay baad jo tareekh aati hai, isay zachgi ka din tasleem kia jata hai. zachgi ka din moqarrar karna kisi kay liye bhi mushkil hai kiun keh tareekh kay aagay peechay hona maamuli baat hai.

Question 2: Beta paida kerne ka tareeqaMain nay kayi akhbaaron rasalon mein parha hai keh kisi khaas waqt aur khaas tareeqay say agar miyan biwi mubaashrat karain to beta zaroor paida hota hai. Kia in baaton mein waqai koyi sachaayi hai?

Answer 2: Ji han. log iss qisam kay tajurbaat to kar rahe hain aur dawa bhi kartay hain keh in kay tajurbaat kafi had tak kaamyab hoye hain. lekin jahan tak ham doctors ki maaloomaat hain, hum beta ya beti hona mahaz aik qismat hi tasleem kartay hain. Iss qismat ko kisi amal say baandha nahi ja sakta. beti ho ya beta, ahum yeh hai keh bacha sehat mand hona chahiye.

Question 3: Mera dil pareshan rehta haiMeri umer 25 saal hai. Main peli dafa hamlah hoyi hon. maaloom nahi, kiun mujhay jitna khush hona chahiye, mein nahi ho pati hon. Har waqt dil pareshaan sa rahta hai. halka halka dard pait mein rahta hai, likin qai nahi aati . Jisam kamzore  aur sust sa lagta hai. kia aisa sab kay sath hota hai? Kia pooray no mahinay meri tabiyat aisi hi rahay gi?

Answer 3: Aap bilkul fikar na karain. Hamal kay shoro kay dinon mein kuch auraton ko bilkul aisa hi lagra hai, jaisa keh aap ko lag raha hai. Jism mein hoti tabdeeli ki aadat jism ko aahistah aahista parhti hai. aap dakhain gi keh teesray mahinay kay baad say aap ki tabiyat khood ba khood thik ho jaye gi. dard kay liye baaqaidah doctor say mashwarah leti rahain. per umeed bani rahin, koyi fikar ki baat nahi.

Question 4: Pehli baar hamla ko kia ehtiat kerni chahiye?Main peli baar hamlah hoyi hon. Mujhay kia ahtiaat karni chahiye? zachgi say pehlay aur baad mein mubaashrat kab noqsaan dah ho sakti hai?

Answer 4: Ssab say pehli baat to yeh hai keh apna check up baaqaidah karwati rahain. khana ghizayat say bharpoor lain, bhari na lain. doodh aur dhoodh say bani chizain lain. hari sabziyan, phal baqaidah tor say lain. zahni tanao say door rahain aur aaram bhi karain. ghar ka kaam barabar  karti rahain, lekin itna hi jatna aap ki doctor kahe. baaqaidah tor par shaam ko tahelnay jayein. Mubashrat bilkul mana to nahi , lekin zachgi say pehlay teen mahinay aur zachgi kay aakhri teen mahinay mubashrat na hi karain to acha ho ga. zachgi kay baad khoon ka selaan band ho jaye to mubashrat mumkin hai.

Question 5: Mein jald pregnant hona nahi chahti.Hamaray shaadi ko kuch hi din hoye hain. hum jald hi bacha nahi chahtay. aap baraye meharbani yeh batayain keh mahinay mein kon say din "mahfoze" samajhay jatay hain aur kon say "Khatray" kay hotay hain.

Answer 5: Amooman " Mahfooz din" yani wo din, jab hamal theharnay ka imkaan nahi hota. mahwari kay pelay din say aath din, aur mahwari ki tareekh say pehlay aath din tasleem kiye jatay hain. lekin yeh in auraton kay liye sahi hai, jinhain har 28 din par mahwari shoro hoti hai. be qaidah mahwari chakkar ho to "Mahfooz" dinon ka maalom karna mushkil hota hai. mahwari shoro honay ki tareekh say choda din pehlay "oviation" ho ta hai aur isi waqt hamal theharnay ka imkaan hota hai.

Question 6: Hamal aur shohar se jismani taluqkia hamal thehartay hi khawand say jismaani taaluq per pabandi laga deni chhiye. aap iss baray mein kia raye deti hain?

Answer 6: Hamla honay par khaas kar agar pehli bar hamla ho rahi hain, to har tarah ki ahtiyat karna acha hota hai. sab say pehlay apni doctor say mashwarah karain. agar sab kuch normal ho to zindagi bhi normal tareeqay say chal sakti hai. miaan biwi ko jismaani taalluq par poori tarah pabandi to nahi lagana chahiye. lekin han, ahtiyat karna zaroori hai. khaas kar pehlay teen mahinon aur aakhir kay do mahinon main acha ho agar aap apni doctor say bhi iss baray mein khul kar baat kar lain.

Question 7: Hamal aur Blood PressureMain 27 salah shaadi shudah hon. hamlah honay kay do mahinay kay andar andar mera blood pressure barhnay laga. bohat si dawaiyan lain aur khanay par control rakha. phir bhi pooray no mahinay blood pressure high hi raha. meray pooray jism par sojan rahi, aur zachgi bhi takleef do rahi. bach bohat hi kamzoor paida howa aura b chatiyon mein doodh bhi nahi utarraha hai. bachay kay bhi chati say doodh peenay ki taqat nahi rahi ahi. kia yeh sab blood pressure kay liye khayi  gayi dawaiyon kay bais to nahin ho raha hai? main kia karon? aayindah kay liye kia ahtiayaat karon?

Answer 7: Hamlah honay par blood pressure ka ghair maamoli tor say barhay rahna bohat hi khatarnaak baat hai. yahan tak keh iss tarah bachay ya maan ki jaan bhi ja sakti hai. bachay ka itna kamzore honay ki bhi yahi wajah hai. chatiyon mein doodh matloobah moqdaar mein nahi aaraha hai. yeh maslah high blood pressure ki wajah say nahi hai. yeh aik qudrati maslah hai. iss ka fikar na karain. bachay ko dabbay ka doodh doctor say mashwarah lay kar ahtiat say dain. aayindah kay liye yahi kaha ja sakta hai keh pelay mahinay say hi doctor say mashwarah leti rahain, in ki hidaayat ki poori tarah say pabandi karain.

Question 8: Mera bachcha kamzor paida hua aur phir fout ho gaya.shaadi kay aik saal baad main hamlah hoyi. pooray 9 mahinay main doctor ko dekhati rahi, phir bhi zachgi kay waqt bacha ulata ho gia aur barhi mushkil say "saurian" kay zareeya  paida howa. bachah itna kamzor tha keh das din kay baad hi is ski wafat ho gayi. aisa kiun howa? kia aayindha bhi aisa ho sakta hai? main kia karon, jis say aayindah sahat mand bacah paida ho? bohat hi mayoos ho gayi hon.

Answer 8: Main aap ka dard  ka dard samajh gayi hon, lekin iss tarah mayoos nah on. bacha kay etnay kamzor honay ki kayi wajohaat ho sakti hain. Bachay tak matlooba moqdaar main ghiza ka na pohanch pana ya maan kafi din high blood pressure mein mubtila rehna ya phir "Plastain" main kamzori hona. kabhi kabhi "chromosomes" mein kharabi honay ki wajoohaat bhi bachay par bura asar daalti hain. in wajoohat ko tojah mein rakhtay hain apni doctor ya phir kisi doosri mahir doctor say mashwarah lain aur dobarah in hi baton ko towajah main rakh kar moyainah karayain. iss tarah yeh maaloom ho sakay ga, keh bacha itna kamzor kiun tha? wajah maaloom honay say agli baar aap muhtat rah sakti hain. aur doctor ki raye kay mutabiq amal kar kay aik tandurust bachay ko paida karain gi.

Question 9: Hamal ke alamaatMeri shaadi kuch hi mahinay pehlay hoyi hai. Mujhay abhi kuch din hoye maaloom howa hai keh main hamlah hon. waisay main tandurst hon aur hameesha rahi hon. lekin aik mahinay say jism ko totna, chakkar aana, bhook na lagna, sar bhari rahna. saray jism main aik susti ka bana rahna waghairah say pareshaan hon. kia aisa har hamlah aurat kay sath hota hai? mujhay koyi bimaari to nahi?

Answer 9: Aap kay khat say aisa to nahi lagta keh aap ki elaamaat kisi bimaari ki alaamaat hain. istaqrar hamal kay ibtedaayi dinon mein kabhi kabhi aiksi halat ho jati hai. jaisay jaisay jism istaqrar hamal ki tabdeeliyon ka aadi ho ga, waisay hi susti, jism ka tootna waghairah takleef kam hoti jayain gi. yeh takleef amooman har aurat ko thori bohat hoti hain. maaloom hota hai keh zachgi ka khof aur apnay baray pareshaani aap ki sehat par asar andaaz ho rahi  hai. mustabil kay baray par umeed rahain. quwat bakhsh ghiza lain aur check up baqaidagi say karati rahain.

Question 10: Hamal aur WarzishMeri shaadi hoye do baras hoye hain. kuch hi din pahlay maaloom howa hai keh main hamlah hon. main nay kahin parha hai keh hamlah honay par bhi thori bohat warzish kartay rahna chahiye. iss say zachgi kay waqt ziadah dard aur pechidgian nahi hoti hain. kia ye sach hai?mujhay kis tarah ki warzishain karni chahiye?

Answer 10: Yeh aap ka pehla moqa hai. jitni ahtiaat ki jaye, utna hi acha hai. apni doctor ki raye la lain. Agar sab kuch normal tareeqay say chal raha hai, to halki phulki warzish karna bhi mufeed ho ga. warzish kay liye bas tehalna breathing exercises aur maamoli ghar ka kaam hi kafi rahe ga. koyi bhi bhari aur  thakawat danay wala kaam na karain. zachgi kay baad aap warzish karain, takeh jism mein chusti phurti rahay. doctor say baaqaida check up karati rahain.

30 comments:

  1. paregnant na hona.mujy aap say ye pochna hy k mera 1 martba hamal zaya ho chuka hy ab pechy 6 mah say mujy mahwri k kbhi 5 ya kbhi 7 din uper ho jaty hn in dino men meri tabut bht kharb rhte hy chakr aty hn dil kharb hota hy or neend bht ati hy hr waqt susti rhti hy phir mujy mahwrai aa jte hy or bleeding b bht hoti hy esa q ho rha hy mery sath or mujy hamal q nhi ho rha hy

    ReplyDelete
  2. mera hamal dosri bar zaya hogaya hy .waja samhj ni i hy dr kehte hn k growth ni ho rahi ti jb k hamal dheer month ka tha.mujhe dobara pregnant hona hy ap baten k esa kia karon.meri DNC 14 sep ko hoi hy.or abi en dino me kia ahtiyat karon

    ReplyDelete
  3. mera sawal ye hai k mjhy bht umeed thi is month. magar mjhy prds ki date sr 10 din pehly hi prds aagaiy jis se meri umeed toot gai . mjhy baar baar pishab aata hay jalan b rehti aur bp hi sa rehta hai. kya ye sab nrml hai?

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. majbori ki halat me hamal kese zaya kia jaye plz ans

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
  6. Sir mj b humial ko zai krna ha abi Mara pahly bacha cuhtai ha plz mj kuch baty mari wife ko date ne aimn gynconsir ki tablets li ha

    ReplyDelete
  7. Sir mj b humial ko zai krna ha abi Mara pahly bacha cuhtai ha plz mj kuch baty mari wife ko date ne aimn gynconsir ki tablets li ha

    ReplyDelete
  8. Takreeban 16 weak ho gay he Hamal ko Lekin pait ni phool raha ?????

    ReplyDelete
  9. Takreeban 16 weak ho gay he Hamal ko Lekin pait ni phool raha ?????

    ReplyDelete
  10. Takreeban 16 weak ho gay he Hamal ko Lekin pait ni phool raha ?????

    ReplyDelete
  11. Agr baby,ulta ho to Kya phr b,ultrasound se pta chal skta hai k beta hai ya beti

    ReplyDelete
  12. Need a solution of problam.?that how to increase breast milk?by natural foods

    ReplyDelete
  13. Or any perfect tablets..plz...

    ReplyDelete
  14. Mera masla ye h meri mensez ki date ko 2 din baki the lakin hmbstri krne k bad date pr mensez nhi ae ab 5 din ho gae hen minsez nhi ae aur misoprostol ki 4 tablet kha li hen kya next period a jaen ga plz tell me

    ReplyDelete
  15. hamal k doran ganda pani niklana kia hota hai?plz tell me

    ReplyDelete
  16. Me 5 mnths Ki pregnent hun Or baby gender b pta chal gya h it’s boy ...Masla ye h Ke Mera color bht kharab ho gya h or two tone ho gya h or chehrey Ki chamak khtam ho gyi h rookha or bejaan sa ho gya h chehra jis Se me bht parishan hun

    ReplyDelete
  17. Me 5 mnths Ki pregnent hun Or baby gender b pta chal gya h it’s boy ...Masla ye h Ke Mera color bht kharab ho gya h or two tone ho gya h or chehrey Ki chamak khtam ho gyi h rookha or bejaan sa ho gya h chehra jis Se me bht parishan hun

    ReplyDelete
  18. Meri shadi ko 6 mahinay ho gay he hamal
    Ni ho raha
    Kiya mujay abi aur w8 krna chahiye
    Me bihat worried hu

    ReplyDelete
  19. Mera sawal ye h k main apny haiz ki date bhool gai hn r mjy yad ni k kitny month ka Hamal ho gya kesy pata chly ga

    ReplyDelete
  20. Mera sawal ye h k main apny haiz ki date bhool gai hn r mjy yad ni k kitny month ka Hamal ho gya kesy pata chly ga

    ReplyDelete
  21. Mera sawaal ye ha K ager bacha pait ma ulta ho gya ho to Kia karien

    ReplyDelete
  22. Mera sawaal ye ha K ager bacha pait ma ulta ho gya ho to Kia karien

    ReplyDelete
    Replies
    1. Please muja B is bat ka solution bta dain

      Delete
  23. Meri shadi ko 6 month ho gaye ha lakin meri wife ko hamal nai thehr rha rehnumai farma dy

    ReplyDelete
  24. Sir Mari wife ka 9th month Chal raha ha aur achanak us KO taiz taiz chakkar ana shoro ho jatha ha jabke BP sugar control ha. Iss silsele ma rehnomai kare k khatre ki koi bath to nahi

    ReplyDelete