Question 1: My breast size decreases after child birth
Phehly bachay ke pedaish kay bad he pistanoon mein kuch dhela pan aagea tha. Ab dosrey bache kay bad mein mehsus kar rahi hoon keh aik pistaan chotha hogaya hai. Bari ghabrahat horahe hai. Yeh kesi marz ke illamaat to nahi?
Answer 1: Aap pareshan nah hoon ,aksar auratay bachey ko dodh pelatey waqt aik hi pastan ka ziadah iatamal karti hein , jes sey uss pastan ka size kuch bara hojata hai, aur dosra pastan kuch chota malume honey lagta hai. Iss bath ka kheal rakhtey hoey dono pastanoon sey barabar dodh pelana chahey . nahiyeh kesi bhi marz ke ilaamaat nahi hai. Bachey ko dodh pelana jab bandh ho jae to pastanoon mein kara pan laney ke werzishey karey . Thorey dinoon mein dono pastan barabar honey lagey gey.
Question 2: My breast is still in small sizeMere umar 20 saal hai. Mein yoo to bilkul tandurust ho liken mare chatyoon ka ubhar thek tara sey nahi howa hai. Iss waja sey ahsas kamtare mein mubtala rehti hoon. Iss kay elawa marey badan par bal bvhi kafe hain. Kaya mujhey harmoon ilaaj ke zarorat hai? Keya harmoon ilaaj sey chateoon ka ubhar barhaya jasakta hai?
Answer 2: Ji nahi aap kay sawal sey to essa nahi lagta keh aap ko harmoon ilaaj ke zarorat hai. Harmoon ilaaj chatoon ka ubhar nahi barhayah jasakta . Kisi kisi larke larke kay jism par bal ziadah hojatey hai. Harmoon ilaaj sey jism kay bal bhi ghaib nahi hongey . Apne pareshani door karney kay lea aap kesi achi lady doctor sey mashwarah leain . Chatoon ke khubsurti kay liyeh khaas warzeshein hoti hai, inhey karey aur balloon kay lea maher beautician sey mashwarah karey.
Question 3: Discharge from nipples before marriageMere shadi thaey hogai hai, liken mein pareshan hoon . Merey pastanoon kay dono napeloon mein sey har waqt eik lasdar mawad sa nekaltah hai. Mein ghar walo sey bhi iss kay mutaliq kuch nahi keh pati hoon . Koi ilaaj bataye .
Answer 3: Behan sahi ilaaj kay lea to aap ko doctor ko dekhana hoga. Iss tarah kay silaan ko jab tak dekha nahi jaye , tab tak uss ke waja mutiaian karna bohat mushkil hota hai. Jism kay kisi bhi hisey mein taklef ho sakti hai. Aap der nah karey foran doctor ko dekhaye.
Question 4: Pain and discharge from my breastMere aik mushkil hai, jis ko lekhtey hoe Jhijakh rahi hoon. Merey pastanoon mein bhare pan aur dard rahte hai. Napil mein sey yasdar mawad nikalta hai. Keya yeh kisi khatarnak bebari ke ilaamaat hein?
Answer 4: Ji nahi aap bohat pareshan nah hoon . Lasdar sa discharge kio hota hai, Yeh malum karney kay lea khoon ke chanch " prola katen level" malum karney kay lea karwaeon . Uss kay bad hi sahe ilaaj hosakey ga.
Question 5: My breast is fully developed at age 15Mere umar pandrah baras hai. Mein kafi dubli patli hoon aur lambi bhi.
Sirf mere chatyaan bohat bhare hai. Iss sey mujhey bohat sharam aati hai aur meinfikar mand rehti hoon wesey mahware mujhey thekh waqt par hoti hai. Liken sirf teen din hoti hai, kuch log khahtey hai keh jin logoon ko khool kar mahware nahi hoti iss mein bhare pan aajata hai keya iss waja se mere chateaan bhare hai? Keya harmoon ilaaj sey mujhey faeda hosaka hai? Koi mashwara dein.
Answer 5: Aap itni preshan mat ho kuch larkio ko teen din mein hi mahware khatam hojati hai agar mahwari baqaeda hai to koi fikar ki baat nahi chatyoon ka bhari pan hona mahwari chakkar par munhaser nahi aur harmoon ilaaj kay zariye iss mein tabdeele nahi lai jasakti pastanoon ke banawat mein "oedipus tissue" aur "glandular tissue" hotey hai , jin par thora asar warzish ka bhi hota hai iss kay elawa plastic surgery hi chateoon ko bara aur chotha karsakti hai liken aap ke umar mein uss ke raey nahi donge kesi maher beautician se uss kay mutaliq warzish puch lein.
Question 6: My both breasts are unequal in sizeMere umar 21 saal hai, mere eik saal ke beti hai , beti ke pedaish kay bad mera aik pastan bara aur dosra pastan chota hogea hai beti abhi mera dodh peti hai merey ser kay bal kafi jhar rahey hai koi dawa bataein jis sey pastan pheley ke tara barabar ho jaein aur balloon ka jharna bhi ruk jaey ?
Answer 6: Pastanoon kay chotey barey honey ka bal jharney sey koi talluq nahi beti abhi dodh perahe hai iss lea pastanoon mein koi tabdeli nahi aae ge dono pastanoon sey dodh pelaein jo pastan chota hai is se ziadah plaein jab aap dosri bar hamlah honge to yee maslah khud bakhud hal hojaega . Bal charhney sey rokney kay lea aap green sabzeyaan khaein aur dodh pein. Zang aameza capsule jasey, geoait, buzak, zaknol waghara mein sey koi eik capsule rozana 2 mah lein.
Question 7: Pain and swelling in my breastMere umar 30 saal hai guzashta 5,6 mah sey merey pastan mein ganth hogai hai jo choney mein dard karte hai. Mahwari se phehley aur kabhi kabhi darmean kay dino mein ziada phool jati hai aur dard hota iss waja sey mein bohat tanaoo mein hoon baraey mehrbani koi ilaaj batay ?
Answer 7: Aap kay sawal sey yeh malume hota hai keh aap ko "fairwednomast" hai. Aap kesi Surgeon ko dekhaein, needle operation kay zariye uss ganth ka muana karey gey . Wesey hosakta hai, dawa sey yeh thek hojaeg agar surgeon operation ka mashwara detey hai to aap operation kay zariey yeh ganth nekalwalein, prashan honey ke zarorat nahi.
|
Question 8: Pain In Breast In HindiMere umar 23 saal hai. Merey 5.6 mah sey merey pastan mein ganth hogae hai. Jo choney par dard karti hai. Mahvari sey phealey aur kabhi kabhi darmian kay denoon mein ye yeh ziadah phole jati hai, aur dard hota hai . Uss waja sey mein bohat pareshan hoon please koi ilaaj bata?
Answer 8: Aap kay sawal sey malume hota hai , Aap ko Fibroadenoma Breast hai. Aap kese surgeon ko dekhaein jo Needles By Posey Operation zariye uss ganth ka muaena kareyin gey. Wesey ho sakta hai. Dawa sey yeh thekh ho jaey aur agar surgeon operation karwaney ka mashwara detey hein to aap operation kay zariye yeh ganth zarore nekalwaley , preshan honey ke zarorat nahi.
Question 9: Breast Size Difference In HindiMere umar 28 saal hai. Merey 2 batey hai. Bare batey ney mera dodh kuch he din peya , dosra beta 1.5 saal ka hai, lekin abhi tak mera dodh peta hai, merey dono pastanoon me kafi ferq agea hai. Right side wala pastan bohat chota hogea hai. Mera wazan bhi bohat kam hogea hai. Koi ilaaj bataein . jissey right side walapastan normal hogay .
Answer 9: Aap apney bache ko dodh pelana bandh kardey . 6 mah bad sey bache ko upar ka dodh aur ghaza dena shoro kardena chaeye. Aap dodh heigh Protein deid sey apn wazan baraney ki koshesh karey. Aap ka wazan bohat kam hai, iss lea warzesh sey koi faida nahi hoga kamaz kam 10 kilo aap ko barhana chaeye.
Question 10: Breast Feeding Problem In Hindi
Mera chota bacha 4 mah ka tha keh tab mein dosri bar hamleh hogae jaldi hi mein dodh pelana bandh kartey hi dodh khushk hogea lekin dosra bacha 10 mah ka honey par dodh bandh karney par khushk nah howa aur bohat dard honey laga to doctor ney dodh bandh karney kay lea injection lagaey liken iss mein merey pastan achanak sukarh kar such gaey . Mehrbari kar kay koi bataein jis sey mere ahsas kamtare door ho.
Answer 10: Pastanoon kay lea irtaqa kay lea koi khas dawa nahi aap quwat bakhsh dawa lein. Jis mein mere proten ke meqdar ziadah ho chonkey aap kay dono bachey jalde hogae iss lea jismani kamzore aagae . Jasey jasey aap sehat mand hoon ge aap kay pastan barhney lagey gey wesey dodh khushk karney wali soe sey pastan nahisukhtey .
|
No comments:
Post a Comment